Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri

By: 

Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics

Jab aaye jahan mein Muhammad, Rehmat ki badariya chayi,
Butt keh kay giray munn kay bal, Aaqa ki sawari aayi!

Tera noor hai noor e Illahi, kabzay mein Khuda ki khudayi,
Nahin itni kalam mein taqat, likhay meray Nabi ki barai.
Yeh hain dono jahan kay sarwar, boli Halima dayi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Zulmat ke chatay hain badal, rehmat ki huyi hai hal chal,
Jab aaye kamaliya wale, rehmat huye hain ujalay,
Aaqa nay mitayi jahan say, Abu Jahal ki burayi.


Jab aaye jahan main Muhammad…

Qadmoon main hai unkay Janat, yeh hai meray Nabi ki azmat,
Yeh baat hai bando haqeeqat, Aadam ki huyi hai shafa’at,
Jab aaya khiyal e Muhammad, Aadam nay di hai duhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Batlao gay jo sach mujhko, manoon ga Nabi jab tumko,
Muthi main batao kiya hai, yeh pucha Shah e Umam ko,
Kankar nay parha jab kalma, Abu Jahel ne moun ki khayi.

Jab aaye jahan main Muhammad…

Abu Bakr o Umar aur Farooq, Usman o Ghani aur Haider,
Chamkaya inka muqadar, hai haath Nabi ka sar par,
Sarkar nay dono jahan mein, azmat charoon ki barhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Hai saath Nabi kay rehmat, Allah ko hai unsay chahat,
Nabiyoon ki karein woh imamat, hai pusht pay mohray nabuwa’at,
Mehboob hain yeh to Khuda kay, Quran nay di hai gawahi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Bin dekhay RasoolAllah ko, na ishq ka daman choray,
Aik dant Nabi ka toota, sab dant Owais nay toray,
Aie [Qatil] na hum nay dekha, aisa koi shedai.

Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Habibi, Ya Muhammad…


More Islamic Lyrics

  1. Aye Khuda Lyrics - Ahmad Hussain
  2. Always Be There Lyrics - Maher Zain
  3. Healing Lyrics - Sami Yusuf
  4. Allah Made Everything Lyrics - Zain Bhikha
  5. Subha Taiba Mein Hui Lyrics - Owais Raza Qadri
  6. Don’t Talk To Me About Muhammad Lyrics - Dawud Wharnsby
  7. I Need Your Help Lyrics - Wajid Akhtar
  8. Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri
  9. Special Lyrics - Abdullah Rolle
  10. Ya Rabbi Ya Rahman Lyrics - Ahmad Hussain
  11. Saaeein Mawla Lyrics - Fez Meghani
  12. Generous Peace Lyrics - Kareem Salama
  13. Syed Nay Karbala Main Waday Nibha Diye Hain Lyrics - Abdul Rauf Rufi
  14. Mawlaya Lyrics - Raef
  15. Masha Allah (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  16. Mere Aaqa Nigaah-e-Karam Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  17. True Love Lyrics - Maher Zain
  18. Karbobala Bismillah Lyrics - Voices Of Passion
  19. Allahi Allah Kiya Karo Lyrics - Maher Zain
  20. Morning Prayer Lyrics - Tom Robertson
  21. Kamle Wale Muhammed Lyrics - Milad Raza Qadri
  22. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  23. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  24. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  25. Lord of Ramadan Lyrics - CoTu

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x