Tere Qurbaan Nabi Nazar e Karam Hum Pe Huyi Lyrics
Tere qurbaan nabi nazar e karam hum pe huyi
Tum ne bheja khiza e hind me ek taaza gulaab
Un ki khushboo ne dilon ko bana diya gulshan
Aaj har dil unhe kehta hai ya Gharib Nawaz
Wo na aatey jo kabhi hukm e nabi na hota
Wo na aatey na kabhi hind me ye deen hota
Wo na aatey to zara socho hum kahan hotey
Tere qurbaan Nabi or tere Gharib Nawaz
Huwa jab hukm e Nabi chal diye ghar se Sanjar
Hum bhatakton ko raah Haq ki dikhane ke liye
Tere qurbaan mueen tum ne nibhaya vaada
Tere mashkur or mamnoon hum Gharib Nawaz
Har shab o roz bhatakte hi bhatakte rehtey
Wo na batlatey agar raah e khuda hum ko kabhi
Dar e gaffar dar e ghaus dar e khair ul anaam
Jo na dikhlaatey kahan jaatey hun Gharib Nawaz
Yun to they alf shahar chahtey chaley jaatey
Haan magar qismat e ajmer me likhey they mueen
Shahar e ajmeri ki galiyon se yahi aaye sadaa
Ho gaya hum pe karam tera ya Gharib Nawaz
Huwey roshan wo ain tere dholey gumbad se
Or jaypaal karam se bana bayabaani
Or hain laakhon karodon karam tere sab per
Jo bayan lafzon me kaise karun Gharib Nawaz
Kis tarha jalwey tere rozey ke bayaan karun
Ke jhalak roza e aqdas ki nazar aati hai
Char-soo noor tere dar pe dar e ahmed sa
Koi kucha nahi khali tera Gharib Nawaz
Tere langar ki karamaat kya kahey ‘ Mehboob ‘
Wo to shahon ka gadaaon ka khazana thehra
Lakhon paltey hain merey jaise tere tukdon se
Or karodon ki tum ho aas Ya Gharib Nawaz
Submitted by: Mehboob Makrani
COMMENTS