Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya Lyrics

Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
Yusuf Ko Tera Taalib E Deedar Banaya

Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir Tumhein Sarkaar Banaya

Kunji Tumhein Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya

Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhein Haami O Ghumkhwaar Banaya

Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hain Bhikaari
Sarkaar Banaya Tumhein Sarkaar Banaya

Lillah Karam Mere Bhi Veerana E Dil Par
Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya

Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya

Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya

Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya

Har Baat Bad A’amaliyon Se Maine Bigaadi
Aur Tum Ne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya

Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya


More Islamic Lyrics

  1. Shab E Tareh Lyrics - Shahid Baltistani
  2. Aye Khuda Lyrics - Ahmad Hussain
  3. Sign Language Lyrics - Gaith Adhami
  4. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Better Day Lyrics - Zain Bhikha
  6. Sout Lyrics - Hamza Namira
  7. Aaya Na Hoga Iss Tarha Lyrics - Zulfiqar Ali
  8. Shafa’a – ????? Lyrics - Jabar Abdollah
  9. Afreen Afreen Lyrics - Aashiq al-Rasul
  10. Zameen Maili Nahi Hoti Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  11. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  12. Rab Farmaya Mahbooba Lyrics - Milad Raza Qadri
  13. Salam Alaikum Lyrics - Harris J.
  14. Ya Rasul Allah (Part 2) Lyrics - Sami Yusuf
  15. Ay Shaam E Gharibaan Lyrics - Mesum Abbas
  16. The Bright Moon Lyrics - Raef
  17. Ring in the Desert Lyrics - Gaith Adhami
  18. 99 Names of Muhammad Lyrics - Beautiful Names
  19. Aye Mere Asghar E Bezubaan Lyrics - Irfan Hussain
  20. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  21. Zara Chehre Se Lyrics - Ahmad Hussain
  22. Allah Almighty Lyrics - Ahmed Bukhatir
  23. You Are The One Lyrics - Raef
  24. A is for Allah Lyrics - Yusuf Islam
  25. Aaj Aaye Nabiyon Kay Sardar Marhaba Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

12 Comments
Newest
Oldest Most Voted
12
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x