Aye Shaam Terey Bazaaron Se Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
Chamkegi jabeen suraj bankar x2
tha hashr unhi tehreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
Barsae gaye the patthar bhi x2
baarish bhi huvi thi teeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
Ek goonj uthi taqreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
Qaimon ko jalaen the aadan x2
Haalat thi ajab dilgeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
Ye izzat ye tauqeer huvi x2
Tatheer ke daamangeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
Yun kaati gae hai shiryaane x2
Quraan teri tafseeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
Halki si jhalak hai ek akhtar x2
Un dard bhari tasveeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Yeh Jo Halka Halka Suroor Lyrics - Nusrat Fateh Ali Khan
  2. I Love You So Lyrics - Maher Zain
  3. The Mountain Lyrics - Tom Robertson
  4. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  5. By My Side Lyrics - Maher Zain
  6. Baraka Allahu Lakuma Lyrics - Maher Zain
  7. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  8. Ramadan (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  9. Allah Hu Lyrics - Aashiq al-Rasul
  10. Falling Lyrics - Ahmad Hussain
  11. Isn’t It So Funny Lyrics - Labbayk
  12. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  13. Shehar e Tamanna Taiba Mein Aaya Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  14. Muhammad (pbuh) Lyrics - Maher Zain
  15. Chalo Namaz Parhein Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  16. Ramzan Ke Roze Aye Lyrics - Muzammil Hassan Qadri
  17. Lagiyan Ne Mojan Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. My People Lyrics - Yusuf Islam
  19. Khayal Lyrics - Irfan Makki
  20. Naat by Hazrat Aisha Siddiqa “Umm al-Mu’minin” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  21. Dil Madinah Mera Bana Aaqa Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. Guide Me All the Way Lyrics - Maher Zain
  23. Prism Lyrics - Sami Yusuf
  24. Bewaa Ka Sahara Lyrics - Irfan Hussain
  25. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x