Aie Mahe Ramzan Alwada Lyrics - Qari Mohammed Rizwan

By: 

Al Wida Mahe Ramzan Lyrics

Aie reniyali shab qadr, aie mah e ramzan alwada
Biryahein furqat say jigar, aie mahe ramzan al wada.

Aankhoon say ab aanso bahein yeh dard hum kisko kahein
Tujh karni rotay rahein, aie mah e ramzan al wada.

Tu kuuch ka mara tabal, mujh sar para gham ka ajar
Yeh dukh kahoon kiskay agal, aie mah e ramadan al wada.

Kiya tha mubarak mah tu, saray baras ka shah tu
Rab ki dikhayi rah tu, aye mah e ramzaan alwada.

Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.

Tu aaye ga under jahan, hum howein gay shayad kahan
Bhetar qabr ya jagh mein aa, aye mah e ramdaan al vada.

Dil ka meray sultan tu, mujh per kiya ehsaan tu
Din tees ka mehman tu, aye mah e ramazan alwada.

Muj dil mein tera dard hai, tujh karni rukh zard hai
Tan lagha ro dam sard hai, aye mah e ramzan alwada.

Roshan hoyi thi masjida, kush tar bhichaye masnada
Qur’an parhtay hafiza, aye mah e ramzan alwada.

Ummat bhiter bheja tujhay, dozakh agan tujhsay bujhay
Taqwa hai tujh upper mujhay, aye mah e ramzaan alvida.

Rozay say mukh per noor hay, tan kahini say dur hai
Dil sabr say mamoor hai, aye mah e ramzaan al vida.

Tha deen ka tujh mein maza, tu ho chala hum say juda
Sab momina tujh per fida, aye mah e ramzaan alvada.

Jab mah giyara jayein gay, ramzan mubarak aayein gay
Jinkay naseeb woh payein gay, aye mah e ramzaan alwada.

Suna huwa sansar sabh, baki rahein din char ab
Baihosh ho kehtay hain sab, aye mah e ramzaan alwada.

Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
Jeetay rahein to phir milein, aye mah e ramadaan alvada.

Tan beeich hairani ahay, aankhoon say nit pani bahay
Ro ro Yatimala kahay, aie mah e ramzaan alvada.

Naat Information
Recited By: Qari Mohammed Rizwan
Album: Not Available


More Islamic Lyrics

  1. You Came To Me (Farsi) Lyrics - Sami Yusuf
  2. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics - Aamir Fayyazi
  3. Incha Allah (French) Lyrics - Maher Zain
  4. Lab Pe Naat e Nabi Ka Lyrics - Aamir Liaquat
  5. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Lyrics - Owais Raza Qadri
  6. Maula Ya Salli Wa Sallim Lyrics - Aamir Liaquat
  7. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  8. Ya Taiba Lyrics - Ahmad Hussain
  9. Ya Rabbi Ya Rahman Lyrics - Ahmad Hussain
  10. Wedding Nasheed Lyrics - Labbayk
  11. The Way of Love Lyrics - Maher Zain
  12. Ala Bi Dhikrika Lyrics - Sami Yusuf
  13. Wah Kiya Joodo Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  14. A’marona A’malona Lyrics - Maher Zain
  15. Extracts of Qasida Burda Lyrics - Various Artists
  16. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai Lyrics - Naat Lyrics
  17. Uthi Nazar To Unke Karam Pe Thaher Gayi Lyrics - Naat Lyrics
  18. Salaam Lyrics - Sami Yusuf
  19. Lay Down Your Head Lyrics - Zain Bhikha
  20. Ramadan Assalam Lyrics - Aamir Liaquat
  21. Peace & Blessings Lyrics - Raef
  22. Ishq Kee Intiha Syeda Fatima Lyrics - Milad Raza Qadri
  23. Edhak Lyrics - Humood Alkhudher
  24. To Guide You Home Lyrics - Sami Yusuf
  25. Meditation Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

6 Comments
Newest
Oldest Most Voted
6
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x