Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Main Madinay Chala Lyrics

Main madinay chala, mein Madinay chala,
Phir karam ho gaya main Madinay chala.

Kaif sa cha gaya main madinay chala,
Jhoomta jhoomta main madinay chala.

Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
Chahiye aur kya main Madine chala.

Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga,
Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga.

Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,
Kya suroor aega main Madinay chala.

Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi,
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.

Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,
Paye ga dil jila, main Madinay chala.

Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,
Larkharaata hua main madinay chala.

Mere Siddique Umar ho salam aap par,
Aur rehmat sadaa main Madinay chala.

Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,
Mere hamza piya main Madinay chala.

Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar,
Ab tou dai dai Khuda (SWT) main Madinay chala.

Saaqia mai pila main madinay chala,
Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.

Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,
Daikho daikho zarra main Madinay chala.

Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,
Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.

Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher,
Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.

Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,
Woh talab se siwa main Madinay chala.

Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,
Bakhswanay chala main Madinay chala.

Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,
Mere Madani Zia main Madinay chala.

Un k minaar par jab paray gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.

Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.

Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,
Jab chalay qaafila main Madinay chala.

Kya karega idher baandh rakht-e-safar,
Chal obaid-e-raza main Madinay chala.

Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza,
Soch tou kuch zarra main Madinay chala.

Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya,
Qaafia yeh mila main Madinay chala.

Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain,
Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala.

Nasheed Information:

Naat Khawan: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Ummati Lyrics - Maher Zain
  2. Ameen Kaho Bacho Lyrics - Mesum Abbas
  3. Mabrook Lyrics - Irfan Makki
  4. Beautiful World Lyrics - Noor
  5. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics - Naat Lyrics
  6. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai Lyrics - Naat Lyrics
  7. Wherever You Are Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  8. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  9. Madad Kijiye Ya Imam e Zamana Lyrics - Dhamani Sisters
  10. Main Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics - Milad Raza Qadri
  11. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  12. Haider Haider Lyrics - Dhamani Sisters
  13. Ramadan Assalam Lyrics - Aamir Liaquat
  14. Tamanna Lyrics - Labbayk
  15. One Big Family Lyrics - Maher Zain
  16. Jalwa e Jaana Lyrics - Junaid Jamshed
  17. Burdah Lyrics - Mesut Kurtis
  18. Without You Lyrics - Sami Yusuf
  19. Eik Boondh Bhi Lyrics - Mesum Abbas
  20. Ya Taiba Lyrics - Ahmad Hussain
  21. Laylatul Qadr Lyrics - Native Deen
  22. Ya Nabi Lyrics - Sami Yusuf
  23. Ask Him Lyrics - Labbayk
  24. Haser Hesarak Lyrics - Hamza Namira
  25. Freedom Tree Lyrics - Gaith Adhami

COMMENTS

Subscribe
Notify of

66 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
66
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x