Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Chamka Mah-e-Noor Ka Hilal Lyrics

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Bay kasun say hai jinhay pyar wohi aaye hain,
Jo do aalam kay hain ghum khaar wohi aaye hain.

Ek nazar asmaan per daal, marhaba,
Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jhanday lagao galiyan sajao,
Karlo charaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Mehfil sajaayein naatein sunaein,
Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein,
Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam k ghum khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Aashiq key dil jagmaganay lagay hain,
Dekho zara muskuranay lagay hain,
Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman kharay hain bhikari,
Kar do karam amna k laal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne,
Ahle-sunan ko jila di unho na,
Yaad aayengay wo har saal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Shaadi kay naghmay sunatay rahengay,
Jashn-e-wiladat manaatay rahengay,
Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein,
Honay lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani
  2. Ya Hanah Lyrics - Hamza Namira
  3. Hold My Hand Lyrics - Maher Zain
  4. Only Fear Allah Lyrics - Native Deen
  5. Assalamu Alayka Lyrics - Maher Zain
  6. True Love Lyrics - Maher Zain
  7. Hansa Lyrics - Hamza Namira
  8. Insha Allah (Arabic) Lyrics - Maher Zain
  9. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  10. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics - Naat Lyrics
  11. Wedding Nasheed Lyrics - Labbayk
  12. Fragile World Lyrics - Sami Yusuf
  13. Ku MilikMu Lyrics - Maher Zain
  14. Close To You Lyrics - Maher Zain
  15. Forgive Me Lyrics - Maher Zain
  16. Mabrook (English Malay Version) Lyrics - Irfan Makki
  17. Eid Song Lyrics - Sami Yusuf
  18. Look Into My Eyes Lyrics - Outlandish
  19. Meri Kashti Paar Laga Dena Lyrics - Saira Naseem
  20. Anything For You Lyrics - Sami Yusuf
  21. Oh Allah Lyrics - Tom Robertson
  22. Shahaada [English Version] Lyrics - Fez Meghani
  23. Raastein Saaf Batatay Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. I’m Your Hope Lyrics - Sami Yusuf
  25. The Greatest Gift Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x