Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters

By: 

Lut Ke Ayi Hu Mein Nana Jaan Lyrics

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Kiya batoon nana jaan kis kadar huye sitam
Qarbala say Shaam tak har qadam milaye hain gham
Dard ki suno zara azaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Chor kar watan chala par’aye dais kafila
Dard baikasi azee’atoon ka silsila mila
Qarbala jo pohncha karwaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Aik roz mein ujar gayi thi aale Mustafa
Bach saka na zulm koi, jo bacha woh sabr tha
Ho raha tha girya o fugha, ghar mera ujar ke rah gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Bazoo cut gaye firaat per jari daleir kay
Mashaq kiya chiri kay totay honslay bhi sheir kay
Ho gaye Haram bhi bay aaman, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Khak per ragar raha hai airiyaan jawan pisar
Khogayi bisaratay Hussain jab suni khabar
Bein kar rahi hai rokay maan, gher meira ujhar kay rahgaya.

Lut kay aayi houn main nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Meray shair meray ladlay bhi ran mein so gaye
Teen roz kay yeh bhukay piyaasay katal ho gaye
Dasht main tha hashr ka saman, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut key ayi houn mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Haye bay zubaan sheer khuwar bhi na bach saka
Kurmula kay teer say gala jo uska chir gaya
Tash’na lub raha woh bay zubaan, ghar mera ujhar kay rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay rah gaya.

Kiya karoon bayaan nana waqt woh ajeeb tha
Tashna lub Hussain tera kis qadar ghareeb tha
Bhai pay tha sakhat imtehan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Bade shah jal gaye khayam chin gayi rida
Iss dayar e ghair mein na tha koi bhi asra
Band gayein rasan say bibiyaan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Rok Safdar E Hazeen qalam kalam say khoon hai rawan
Bint e sayida kay bain say laraz gaya jahan
Jab kaha kay haye nana jaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Nawha Information

Nawha Recited By: Hashim Sisters ( Adeeya Hashim, Mahum Hashim, Saania Hashim )
Location of Reciters: London, UK
Album: Ghamkharan e Sakina 2008 Volume
Written By: Safdar Abbas.


More Islamic Lyrics

  1. Iltija Hai Iltija Lyrics - Aamir Fayyazi
  2. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun Lyrics - Naat Lyrics
  3. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  4. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Generous Peace (Arabic) Lyrics - Kareem Salama
  6. Every Day Lyrics - Tom Robertson
  7. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri
  8. Your Beauty Lyrics - Tom Robertson
  9. Love Who You Are Lyrics - Harris J.
  10. First We Need the Love Lyrics - Zain Bhikha
  11. Try Not to Cry Lyrics - Sami Yusuf
  12. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  13. Mangnay Ka Maza Hei Dar e Yaar Par Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Allahu Lyrics - Sami Yusuf
  15. Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. Nur ‘Ala Nur Lyrics - Aashiq al-Rasul
  17. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  18. Makes Me Crazy Lyrics - Kareem Salama
  19. Cadence Lyrics - Sami Yusuf
  20. Taweel Al Shawq Lyrics - Ahmed Bukhatir
  21. Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. Nabi Ka Zikar Hi Lyrics - Umair Zubair Qadri
  23. Go Lyrics - Sami Yusuf
  24. You Came To Me (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  25. Ca C’est La Vie Lyrics - Zain Bhikha

COMMENTS

Subscribe
Notify of

12 Comments
Newest
Oldest Most Voted
12
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x