Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics


Ho karam sadqey mein is raat ke aye rab e azeem
Aaj ki raat hai meelad kamli waley ki
Bhool jaoon aye khuda duniya ki main aab o hawa
Kuch na ho yaad siva yaad kamli waley ki

Sab ko maloom hai barsata hai tu abr e karam
Ke karam ki tere mohtaj sari duniya hei
Usi duniya me huwey paida tere aaj nabi
Sadqey aamad ke ho barsat kamli wale ki

Ye mere dil me jo thodi si hubb e duniya hai
Dur kar de isey ye aarzoo e dil hai meri
Ishq e ahmad meri basti e dil me bas jaye
Dil me basti rahe aabad kamli waley ki

Har shab o roz ye khairaat chahta hoon me haq
Ke dar e mustafa pe haazri ho meri kabhi
Ho safar bheekh me ataa mujhe madiney ka
Wo jahan bant-ti hai khairat kamli waley ki

Wo hi mehshar me khade ho ke ru ba ru e khuda
Bakhshwaengey ummati ke sabhi jurm o gunah
Un ko maloom hai sunta hai kareem un ki araj
Rab nahi taalta hai baat kamli waley ki

Ek yahi khwahish e ‘ Mehboob ‘ hai aye rabb e kareem
Bas inaayat ho mujhe deed tere dilbar ki
Ta-hashar ban ke firun aashiq e mehboob e khuda
Or manata rahun meelad kamli waley ki
Submitted by: Mehboob Makrani


More Islamic Lyrics

  1. Qabr E Darvaish Lyrics - Shahid Baltistani
  2. Kya Bayaan Azmatein Houn Teri Shaha Lyrics - Naat Lyrics
  3. I Turn To You Lyrics - Ahmad Hussain
  4. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  5. Dam Hama Dam Ali Ali Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. Zahe Muqaddar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  7. True Love Lyrics - Maher Zain
  8. Welcome to Madinah Lyrics - Khaleel Muhammad
  9. With You Lyrics - Raef
  10. Proclaim The Oneness Of Allah Lyrics - Hafiz Mizan
  11. Shahaada [Urdu Version] Lyrics - Fez Meghani
  12. Ashqi Mn – ?????? ?? Lyrics - Jabar Abdollah
  13. Khayal Lyrics - Irfan Makki
  14. The Source Lyrics - Sami Yusuf
  15. You And I Lyrics - Irfan Makki
  16. Amma Nee Amma Lyrics - Milad Raza Qadri
  17. Al Qudsu Tunadeena Lyrics - Ahmed Bukhatir
  18. Madinay Mein Yeh Hotey Hain Lyrics - Farhan Ali Qadri
  19. Abr e Karam Gesoo e Muhammad Lyrics - Naat Lyrics
  20. Rabbana Lyrics - Labbayk
  21. Ali Hamara Hai Lyrics - Dhamani Sisters
  22. Dragged from Karbala Lyrics - Voices Of Passion
  23. Jashne Aamede Rasool Lyrics - Shaam
  24. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. Fire Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x