Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ya Mustafa Aata Ho Lyrics

Ya Mustafa ata ho phir izn haazri ka
Karloon nazaraha aakar phir aapki gali ka

Eik bar phir dikha do Ramzan mein Madina
Beshak banalo Aaqa mehman do ghari ka.

Rota huwa phir aaon daagh e jigar dikhaoon
Afsana bhi sunaoon main apni baykasi ka.

Phir Sabz, Sabz gumbad ki dekhloon baharein
Ab izn day do Aaqa phir mujh ko hazri ka.

Ya Mustafa! gunahoon ki aadatein nikal jayein
Jazbah mujhay aata ho Sunnat ki pairwi ka.

Dil say ghuroor niklay, bahray Huzoor niklay
Ya Rab! mujhay bana day paikar Tu aajzi ka.


Allah! hub-e-duniya say Tu mujhay bachana
Sa’il houn Ya Khuda main Ishq e Muhammadi ka.

Iman pay Rab e Rehmat day day Tu isteqamat
Deta houn wasta main Tujh ko Teray Nabi ka.

Ulfat ki bheek day do! deta houn wasta mein
Siddiq ka Umar ka, Usman ka Ali ka.

Duniya kay tajdaro! tum say mujhay gharz kiya!
Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka.

Meezaan pay sabh khar’ay hain amaal tul rahay hain
Rakhlo bharam Khudara! Attar e Qadri ka

Other Verses
Day do gham e Madina, day do gham e Madina!
Aisa gham e Madina dekhoon na mooh khushi ka.

Khoon-e-jigar say se’ncha hai baagh e Sunniyat ka
Kardo karam waseelah is Madni murshidi ka.

Ya Syed e Madina! bus Aap hi nibhana
Go houn bada kaminah, par houn to Aap hi ka.

Houn dur sabh balaein deta houn wasta mein
Mazloom karbala ki Sarkaar! bekasi ka.

Ho har Nafas Madina dharkan mein ho Madina
Jab tak na sa’ans tutay Sarkaar zindagi ka.

Allah! is say pehlay Imaan pay maut de day
Nuqsaan mare sabab say ho Sunnat e Nabi ka.

Kuch nekiyaan kamale jald akhirat banale
Koi nahi bharosa bhai! zindagi ka.


More Islamic Lyrics

  1. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  2. Taiba Ke Jane Wale Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  4. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  5. Every Morning Lyrics - Labbayk
  6. Hansa Lyrics - Hamza Namira
  7. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  8. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  9. He is the One Lyrics - Abdullah Rolle
  10. Gaza Lyrics - Native Deen
  11. Subhanallah Lyrics - Labbayk
  12. Morning Lyrics - Gaith Adhami
  13. Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  14. Iman Ramzan Lyrics - Aamir Liaquat
  15. Mast Qalandar Lyrics - Sami Yusuf
  16. Let Me Breathe Lyrics - Harris J.
  17. Without You Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  18. Love Who You Are Lyrics - Harris J.
  19. LabbaykAllah Lyrics - Labbayk
  20. To Guide You Home Lyrics (INSTRUMENTAL) Lyrics - Sami Yusuf
  21. Who is the Loved One? Lyrics - Sami Yusuf
  22. Aao Parhein Qur’an Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  23. Dar-e-Nabi Par Para Rahoon Ga Lyrics - Hooria Rafiq
  24. We are here Lyrics - Aashiq al-Rasul
  25. Aagaya Hai Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of

31 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
31
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x