Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  2. Ya Muhawwin Lyrics - Hamza Namira
  3. O Muhammed Lyrics - Shpend Limani
  4. C’mon Everybody Lyrics - Zain Bhikha
  5. Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics - Naat Lyrics
  6. Close Your Eyes Lyrics - Zain Bhikha
  7. Huzoor Jante Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. SubhanAllah Lyrics - Maher Zain
  9. Let Me Breathe Lyrics - Harris J.
  10. I Pray For You Lyrics - Ahmad Hussain
  11. Only Fear Allah Lyrics - Native Deen
  12. Don’t Wanna Be Afraid No More Lyrics - Noor
  13. Ellahi Lyrics - Zain Bhikha
  14. Unki Kiya Baat Hai Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  15. Durood e Taj Lyrics - Durood Shareef
  16. Long Ago – 610 Lyrics - Khaleel Muhammad
  17. Koi Aaye Koi Jaye Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  18. Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka Lyrics - Imran Shaikh Attari
  19. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha
  21. Rabbana Lyrics - Labbayk
  22. Endless Bounty Lyrics - Noor
  23. Numb Lyrics - Gaith Adhami
  24. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  25. Wherever You Are Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x