Alvida Alvida Mahe Ramzan Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Alvida Alvida Mahe Ramzan Lyrics

Alwada Alwada Mahe Ramzan
Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana, Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN


More Islamic Lyrics

  1. Du’a Lyrics - Fez Meghani
  2. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  3. Kaun Hai Sarwar E Deen Lyrics - Milad Raza Qadri
  4. Ya Nabi Salam Alayka (Turkish Version – Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  5. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics - Aamir Fayyazi
  6. The Way of Love Lyrics - Maher Zain
  7. Aicha Lyrics - Outlandish
  8. Ya Zal Jalali Wal Ikram Lyrics - Urdu Hamds
  9. A Piece of Land Lyrics - Dawud Wharnsby
  10. Lagiyan Ne Mojan Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Ya Rab Bimarey Kerbobala Lyrics - Dhamani Sisters
  12. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  13. Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Lyrics - Nadeem Sarwar
  14. 99 Names of Allah Lyrics - Kamal Uddin
  15. Habibi Ya Rasool Allah Lyrics - Milad Raza Qadri
  16. Naat by Hazrat Uthman ibn Affan “Ghani” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  17. You Are My Life Lyrics - Harris J.
  18. A Child’s Prayer Lyrics - Zain Bhikha
  19. Main Naukar Hoon Shah-e-Madina Ka Sunlo Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  20. Idhar Hazaron Nabi o Mursal Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  21. Heaven Lyrics - Khaleel Muhammad
  22. Man In The Mirror Lyrics - Raef
  23. Haider Haider Lyrics - Dhamani Sisters
  24. Shine Lyrics - Sami Yusuf
  25. Meditation Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

112 Comments
Newest
Oldest Most Voted
112
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x