Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka Lyrics - Imran Shaikh Attari

By: 

Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka Lyrics

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka
Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka

Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey
Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka

‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko
Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka

Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain
‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka

Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain
Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain

Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee
Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka

Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey
Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka

Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm
Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka

Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka

Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan
Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

By: Ustaad e Zaman, Hazrat ‘Allama Hasan Raza Khan ‘Alaihir Rahmah
Source: Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka


More Islamic Lyrics

  1. Peace & Blessings Lyrics - Raef
  2. Anything For You Lyrics - Sami Yusuf
  3. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics - Naat Lyrics
  4. Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Lyrics - Mohammad Mushtaq Qadri
  5. Ya Zal Jalali Wal Ikram Lyrics - Urdu Hamds
  6. Isn’t It So Funny Lyrics - Labbayk
  7. Allah Almighty Lyrics - Ahmed Bukhatir
  8. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  9. Every Morning Lyrics - Labbayk
  10. Kam Tashtaki Lyrics - Ahmed Bukhatir
  11. Habibi Ya Rasool Allah Lyrics - Milad Raza Qadri
  12. Healing Lyrics - Sami Yusuf
  13. Aaqa Lyrics - Abida Parveen
  14. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  15. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  16. Give Thanks To Allah Lyrics - Zain Bhikha
  17. Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics - Shadman Raza
  18. Maqsad e Aalam e Hayaat e Nabi Lyrics - Naat Lyrics
  19. To Guide You Home Lyrics (INSTRUMENTAL) Lyrics - Sami Yusuf
  20. Ya Ali Ya Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar
  21. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  22. Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam Lyrics - Owais Raza Qadri
  23. The Lord of the Worlds Lyrics - Labbayk
  24. Guantanamo Bay Lyrics - Zain Bhikha
  25. Inna Fil Jannati Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x