Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani

By: 

Aey Mere baba Jan Lyrics

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,
Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai?
Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi…

Aey mere baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chupaoon kahan?

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan
Aie meray baba jan, horahi hai azaan, sar chupaun kahan?

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,
Mere lehjay mein hai, baba teri ada.
Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

Ay mere baba jaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,
Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,
Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

Aiy mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,
Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai
Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

Aie mere baba jan, ho rahi hai azaan, sir chhupaun kahan?

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,
Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,
Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

Aie meray baba jan, ho rahi hai azaan, sir chupaoon kahan?

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,
Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.
Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas
Abbas, Abbas, Abbas, Abbas…

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,
Noke neza say aanay laga khaak par,
Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kaha?

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,
Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai
Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

Ay mere babajaan, horahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,
Misle Zahra khari houn main aghiyar me,
Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

Aie meray babajaan, horahi hai azan, sir chupaun kahan?

Aisa khutba diya mainay darbar mein,
Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

Ay maray baba jaan, ho rahi hai azaan, sar chhupaun kahan?

Nowha Khawan: Shahid Baltistani
Album Released: 2006
D.O.P: Wajid Ali
Editer: S. D. Soomro
Director: Ali Arman
Label: Thar Production


More Islamic Lyrics

  1. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  2. Aaqa Lyrics - Abida Parveen
  3. Missing You Lyrics - Ahmad Hussain
  4. Subha Taiba Mein Hui Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Allah Jaanta Hai Lyrics - Fez Meghani
  6. Lament Lyrics - Sami Yusuf
  7. Ahl Al Bayt Lyrics - Nader Khan
  8. Kaun Hai Sarwar E Deen Lyrics - Milad Raza Qadri
  9. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  10. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai Lyrics - Naat Lyrics
  11. Falling Lyrics - Ahmad Hussain
  12. Generous Peace Lyrics - Kareem Salama
  13. The Source Lyrics - Sami Yusuf
  14. Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters
  16. Change our Hearts Lyrics - Abdullah Rolle
  17. Let You Know Lyrics - Labbayk
  18. Dil Karda Allah Allah Lyrics - Umair Zubair Qadri
  19. Masha Allah Lyrics - Maher Zain
  20. Dua Ganjul Arsh Lyrics - Islamic Duas
  21. Morning Prayer Lyrics - Tom Robertson
  22. Peace Remain Lyrics - Kareem Salama
  23. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  24. Tuntunku KepadaMu Lyrics - Maher Zain
  25. Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Lyrics - Mohammad Mushtaq Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x