Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka Lyrics - Naat Lyrics
  2. Ahl Al Bayt Lyrics - Nader Khan
  3. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  4. When I Grow Up Lyrics - Zain Bhikha
  5. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 1-3] Lyrics - Aslam Sabri
  6. Oh Allah Lyrics - Fez Meghani
  7. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed
  8. Endless Bounty Lyrics - Noor
  9. Man In The Mirror Lyrics - Raef
  10. Aie Mahe Ramzan Alwada Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  11. Rabbee Yebarik Lyrics - Maher Zain
  12. Marhaba Bolo Marhaba Lyrics - Farhan Ali Qadri
  13. Ameen Kaho Bacho Lyrics - Mesum Abbas
  14. Baraye Dil e Dukhtar Lyrics - Nadeem Sarwar
  15. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  16. Noori Mehfil Pay Chadar Tani Noor Ki Lyrics - Siddique Ismail
  17. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  18. Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  19. You Came To Me (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  20. It’s a Game Lyrics - Sami Yusuf
  21. Maqsad e Aalam e Hayaat e Nabi Lyrics - Naat Lyrics
  22. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha
  23. Khusravi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  24. You Came To Me Lyrics - Sami Yusuf
  25. Don’t Talk To Me About Muhammad Lyrics - Dawud Wharnsby

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x