Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri

By: 

Mohammad Ke Shahar Main [Part 2-3] Lyrics


Due to high download requests… we have decided to share the mp3 download link of this Qawwali.
Download Link: CLICK HERE for Mohammad Ke Shehar Mein MP3

Part 1 Lyrics: Mohammed Ke Share Main
Part 3 Lyrics: Mohammed Ke Share Main

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Nazaan hai jis pay husn woh husn-e-Rasool hai,
Yeh keh-kashaan to app kay kadmoon ki dhool hai,
Aye rehrawaan-e-shaukh, chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Begaana-e-irfaan ko, haqeeqat ki khabar kya,
Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya,
Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya,
Woh fazl pay ajaye toh phir aib-o-hunar kya,
Kaamil ko darr-e-yaar ke sajdon say na roko,
Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Aao gunahgaaron chalo sarr kay ball chalen x2
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya.

[ Allama Sir Muhammad Iqbal’s Poem Verse ]

Teri nigaah say zaraay bhi mehr-o-maah banay,
Gadaye besar-o-samaan jahan panaah banay,
Huzoor hee kay karam nay mujhay tasalli dee,
Huzoor hee meray gham mein meri panaah banay,

Zamana wajd-kuna ab bhi unkay tauk mein hai (Regarding Ghar-e-Hira),
Jo koho-dusht kabhi teri jalwagah bane,
Wohi maqaam mohabbat ki jalwa-gaah banay,
Jahaan jahaan say woh guzre jahan jahan pohunchay.

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya,
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein.

Sadqa lutaa raha hai, Khuda Unke naam ka, x2
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne,
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

[ Maulana Ahmed Raza Khan Barelwi & Sufi Bismil Baba’s Poem Verses ]

Hajiyo aao Shahenshaah ka roza dekho,
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho,
Madina woh hai ke Kabaa bhi sajda karta hai,
Kaaba khud Taiba ki janib jhukta lagta hai.

Kaabe ka Kaaba Sarkaar ka roza lagta hai.

Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai,
Aur chamakta chaand Nabi ka talwa lagta hai.

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne, x2
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka aaj bhi,
Khicha kuch is niraali-shaan say naksha Mohammed ka,
Kay naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka,
Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka,
Saraapa noor tha woh kaamat-e-zebaa Mohammed ka,
Issi baais nazar aata na tha sayaa Mohammed ka.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka ajj bhi….. x2

Qawwali Information:
Qawwali: Mohammad Ke Shahar Main
Artist: Aslam Sabri
Music: Md. Tahir
Presenter: Sonic Enterprises

Other Parts of Qawwali:
Part 1 Lyrics: Mohammed Ke Share Main
Part 3 Lyrics: Mohammed Ke Share Main

Due to high download requests… we have decided to share the mp3 download link of this Qawwali.
Download Link: http://rapidshare.com/files/276915229/Mohammad-Ke-Shehar-Mein.mp3


More Islamic Lyrics

  1. Aao Tasbih Hee Subho Shaam Karain Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. Your Mercy Lyrics - Raef
  3. A is for Allah Lyrics - Yusuf Islam
  4. Karam Karam Mola Lyrics - Milad Raza Qadri
  5. Haider Haider Lyrics - Dhamani Sisters
  6. ‘Asheqan Lyrics - Sami Yusuf
  7. Mera Asghar Kafi Hai Lyrics - Shahid Baltistani
  8. Ya Rab Meri Soi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  9. Qasidah Burdah Lyrics - Labbayk
  10. The Passing Traveller Lyrics - Zain Bhikha
  11. Ramadan Lyrics - Maher Zain
  12. I am Near Lyrics - Native Deen
  13. Give The Young A Chance Lyrics - Sami Yusuf
  14. Marhaba Ya Rasoolallah Lyrics - Farhan Ali Qadri
  15. Faslon Ko Takalluf Lyrics - Nader Khan
  16. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics - Naat Lyrics
  17. Mujh Pey Be Chashme Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  18. Every Morning Lyrics - Labbayk
  19. Muslimano Karo Khushiya Muhammad Mustafa Aaya Lyrics - Qazi Wasim Abbas
  20. Kamle Wale Muhammed Lyrics - Milad Raza Qadri
  21. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan Lyrics - Milad Raza Qadri
  22. Heal the World Lyrics - Zain Bhikha
  23. Karam Mangta Hoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. I Love You So Lyrics - Maher Zain

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

83 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
83
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x