Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2
Mera baba saqiye kausar hai

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

1. Tum jiska kalma padhte ho may zainab uski nawasi hoon
Shezadae jannat bhai merey may zainab unki pyari hoon
Pehchano mujhe may zainab hoon
Mera nana shafiye mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

2. Meri madar fatema zehra hai jo jannat ki shehzadi hai
Ehkaam-e- shariat ko logon duniya mein jo lekar aae hai
Ab uski beti balwe mein be makhnaa hai be chadar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

3. Shabbir ki pyari dukhtar par yun shimr-e- laeen ne zulm kiya
Kano ke gauhar bhi cheen liye galo pe tamache bhi maare
Ye kaise musalman hai jinke seeney meyn dil nahi patthar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

4. May dekh rahi thi tegh tale bhuka pyaasa majaya tha
May dekh rahi ek din mein ghar mera saara ujdaa tha
Paamal hue sabke laashe na qasim hai na akbar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

5. Kodon ki aziyath se merey aabid ka badan bhi zakhmi hai
Behaal sakina hai meri bhuki hai bohut aur pyaasi hai
Kehti hai ro ro kar banu godi mein merey na asghar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

6. Hai baarah galo mein ek rasan dukta hai galaa ghut ta hai dum
Zulmat ki ghata-e- chaen hain dil mein hai merey shabbir ka gham
Ye kaisi musibaat aae hai gherey hue hum ko sitamgar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

7. Ahmed ne jo ye noha likha dil kaamp utha gham se uska
Irfan ghame zainab mein jab rote hue is nohay ko padha
Karte hain sabhi aaho-zaari har simpt mein barpa mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Subhanallah (Subhan Allah) Lyrics - Khaleel Muhammad
  2. So Real Lyrics - Raef
  3. Close To You Lyrics - Maher Zain
  4. Muslimano Karo Khushiya Muhammad Mustafa Aaya Lyrics - Qazi Wasim Abbas
  5. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  6. My Hero Lyrics - Harris J.
  7. Zara Chehre Se Lyrics - Ahmad Hussain
  8. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  9. Day of Eid Lyrics - Labbayk
  10. My Little Girl Lyrics - Maher Zain
  11. I am Near Lyrics - Native Deen
  12. The Key Lyrics - Sami Yusuf
  13. Holy Water Lyrics - Gaith Adhami
  14. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Ghar Lut Gaya Lyrics - Mesum Abbas
  16. With You Lyrics - Raef
  17. Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics - Naat Lyrics
  18. Paradise Lyrics - Maher Zain
  19. Khorasan (Arabic Version) Lyrics - Sami Yusuf
  20. Every Beat Lyrics - Aashiq al-Rasul
  21. Allah Ya Moulana Lyrics - Maher Zain
  22. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  23. Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Light of the Worlds Lyrics - Aashiq al-Rasul
  25. Yeh Jo Halka Halka Suroor Lyrics - Nusrat Fateh Ali Khan

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x