Ya Maula Ali (AS) Lyrics
(Ya maula Ali) x8
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x3
1. (Nabiyon ney pukaara mushkil mein) x2
Har dard ka haider maan Ali.
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
2. Pathar mein alam gara jisne
(jisko hai khuda ka sheyr kaha) x2
Damaad-e-Nabi hai maula Ali
(jise haider-o-safdar laqab mila) x2
Hai dunya main zeeshan Ali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
3. Mimbar pey bulaa kar Ahmed ney
(man kunto maula jisko kaha) x2
Jiska bhi hoon ab main maula
(meray baad hai uska Ali maula) x2
Jise Allah say talwar mili
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
4. Socho to zara aie Musalmano
(roze mein us par waar kiya) x2
Jo shohar-e-Fatema Zehra tha
(usko masjid main qatl kiya) x2
Hai Ahmed ka dil-o-jaan Ali
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
5. Pathar me alam gara jisne
(jisko hai Khuda ka shair kaha) x2
Damaad-e-Nabi hai maula Ali
(jise haider o safdar laqab mila) x2
Hai dunya mein zeeshan Ali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
6. Mehman bula kar kufe me
(Imam Hassan ko zehr diya) x2
Jo god-e-Nabi main kheyla tha
(usko masjid mein zibha kiya) x2
Haay roti rahi Zehra ki kali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
7. Ik ujra kafela pyaason ka
(jab lekar Zainab Shaam gayi) x2
Main paak Ali ki beti hoon
(roro kar Zainab kehti rahi) x2
Ab koi nahi hai chara ghar
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
8. “Mehboob” ne likha hai nawha
(roro ke sunata hai “Mesum”) x2
Zainab ye duain karti hai
(ghar ghar Shabbir ka ho matam) x2
Har shaks pukaarega ik din
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2
Haay mere jaan Ali
(ya maula Ali) x12
Pakistani Urdu Noha Information:
Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.
COMMENTS