Ramzan Ke Roze Aye Lyrics - Muzammil Hassan Qadri

By: 

Ramzan Ke Roze Aye Lyrics

Yaar idhar aao, woh dekho Ramzan ka Chand nazar aa gaya!!

Ramzan Ke Roze Aye, dil jhoom jhoom jaye!

Aie mere Allah mujh pay karam yeh farmana,
Roaza rakhoon ga sehri mein mujh ko jaganah,
Ramzan Ke Roze Aye, dil jhoom jhoom jaye!

Hum roza rakhna chahein, Mama humein samjhaye
Roza rakhna aglay saal, Roza rakhna aglay saal,

Conversation # 1:
Kid#1 – Uffoo tumhein kiya huwa Muzzamil, tum kyun udaas baithay ho,
Kiya bataoon yaar, meri Mama toh mujhay kabhi bhi roza nahin rakhnay deti.
Kid# 2 – Kyun bhai kyun, woh kiya kehti hain?
Kid# 1 – Meri Mama kehti hain.
Din hai bara aur tum ho chotay, maan bhi jao na meray baitay,
Bhook lagay gi, pyaar lagay gi, sara din kuch kha nahin saktay.

Conversation # 2:
Kid#1 – Lekin tum batao Hamza, kiya tumhari Mama tumein roza rakhnay dein gi?
Kid#2 – Nahin yaar, meri Mama toh baray pyaar say samjhati hain.
Kid#1 – Acha woh kiya kehti hain?
Kid#2 – Meri Mama toh yeh keh deti hain.
Abhi to chotay bachay ho, mana mann ke sachay ho,
Mama ki aankh ke taray ho,Baba ke dularay ho,
Roza aglay saal rakhna, maan lo baat hamari,
Dhoom dham say lal hamaray, roza kushai ho gi tumhari.

Conversation # 3:
Kid#1 – Yaar Khizr tum to roza rakhtay hogay, tumharay ghar walay toh nahin mana kertay houn gay.
Kid#2 – Nahin yaar meray ghar walay toh har saal yehi kehtay hain.
Kid#1 – Kiya kehtay hain Khizr? Humein bhi batao.
Kid#2 – Ammi jaan to yehi kehti hain.
Meri maan nay bola beta theek hai beta roza rakh lena,
Bachoon ka roza aadha hai, din mein khana kha lena,
Kid#3 – Phir toh tumein bohat gusa aaya hoga, to tum nay kya kiya?
Kid#2 – Mamma Papa pyaar karein aur dadoo bolein kha lo kuch,
Maan ke ghar waloon ka kehna, kha leta hoon aik khana.

Jo roza nahin rakhtay, woh achay nahin hotay,
Unhein Rabb na bakhshay ga, jo Rabb say nahin dartay.

Aao jo log roza rakhtay hain, hum sab mil ker unke haqq mein dua kertay hain.

Jo roza rakhtay hain, unhein sehat de Mola,
Jo roza rakhtay hain, unhein himat de Mola,
Jo roza rakhtay hain, unhein taqat de Mola,
Hassan Imam Qadri ko bakhsh de Mola.

Achi tarah say jaan gaye, Maa Baap ka kehna maan gaye,
Roza rakhein gay aglay saal, Roza rakhein gay aglay saal.


More Islamic Lyrics

  1. Mere Aaqa Ki Shaan Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  2. Hasbi Rabbi Lyrics - Sami Yusuf
  3. Balaghal Ula Bekamaalaihi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  4. ‘Araftul Hawa Lyrics - Sami Yusuf
  5. Falak Kay Nazaaro Lyrics - Abid Qadri
  6. Allah’s Watching Me Lyrics - Asif Choudhury
  7. Doori Lyrics - Hamza Namira
  8. Packed at All Lyrics - Native Deen
  9. Al Malik Lyrics - Hesham Abdul Wahab
  10. Go Lyrics - Sami Yusuf
  11. Taweel Al Shawq Lyrics - Ahmed Bukhatir
  12. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Aiy Taiba Lyrics - Junaid Jamshed
  14. Generous Peace Lyrics - Kareem Salama
  15. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  16. Where is my Warrior? Lyrics - Voices Of Passion
  17. Taiba Ke Jane Wale Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. Every Morning Lyrics - Labbayk
  19. Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Climb With Me Lyrics - Gaith Adhami
  21. Bazm-e-Konain Sajanain Kayliyay Aap Aeye Lyrics - Various Artists
  22. Allah Remains Lyrics - Zain Bhikha
  23. The Path Lyrics - Raef
  24. The Bright Moon Lyrics - Raef
  25. Ya Rasul Allah (Part 2) Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x