Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics - Hooria Rafiq

By: 

Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics

Faslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.

Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
Noor ho noor salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Wajd main aaye ga sara aalam
Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do.

Jaliyon per nigahein jami hain…

Shidat e gham say, ghabra gaya houn
Ab to jeenay say tang aa gaya houn
Har taraf app ko dhoundta hoon
Aur eik eik say yeh phuchta hoon
Koi paigham ho to bata doon.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Aik mujrim siyah kar houn main
Har khata ka saza war houn main
Meray charoon taraf hai andhera
Roshni ka talab gar houn main
Eik diya hee samajh kay jala do

Jaliyon par nigahein jami hein…

Fiqr dekho khayalat dekho
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do

Jaliyon per nigahein jami hain
Jaliyoon par nigahein jmi hain

Faaslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.


More Islamic Lyrics

  1. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. Shukar Hai Tera Khudaya Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  3. Ellahi Lyrics - Zain Bhikha
  4. Homecoming Lyrics - Gaith Adhami
  5. Idhar Hazaron Nabi o Mursal Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  6. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  8. Aaya Na Hoga Iss Tarha Lyrics - Zulfiqar Ali
  9. Peace Remain Lyrics - Kareem Salama
  10. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye Lyrics - Farhan Ali Qadri
  11. Allah Hu Lyrics - Aashiq al-Rasul
  12. Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Lyrics - Nadeem Sarwar
  13. Du’a Lyrics - Sami Yusuf
  14. Salaam Lyrics - Sami Yusuf
  15. Aa Gaey Sarkar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  16. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  17. Bano Ka Yeh Arman Tha Lyrics - Dhamani Sisters
  18. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri
  19. Durood Shareef Lyrics - Milad Raza Qadri
  20. Cadence Lyrics - Sami Yusuf
  21. Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics - Dhamani Sisters
  22. As Subhu Badaa Lyrics - Aashiq al-Rasul
  23. Bookshelf Lyrics - Gaith Adhami
  24. Zahe Muqaddar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  25. Iltija Hai Iltija Lyrics - Aamir Fayyazi

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

31 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
31
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x