Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2
Mera baba saqiye kausar hai

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

1. Tum jiska kalma padhte ho may zainab uski nawasi hoon
Shezadae jannat bhai merey may zainab unki pyari hoon
Pehchano mujhe may zainab hoon
Mera nana shafiye mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

2. Meri madar fatema zehra hai jo jannat ki shehzadi hai
Ehkaam-e- shariat ko logon duniya mein jo lekar aae hai
Ab uski beti balwe mein be makhnaa hai be chadar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

3. Shabbir ki pyari dukhtar par yun shimr-e- laeen ne zulm kiya
Kano ke gauhar bhi cheen liye galo pe tamache bhi maare
Ye kaise musalman hai jinke seeney meyn dil nahi patthar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

4. May dekh rahi thi tegh tale bhuka pyaasa majaya tha
May dekh rahi ek din mein ghar mera saara ujdaa tha
Paamal hue sabke laashe na qasim hai na akbar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

5. Kodon ki aziyath se merey aabid ka badan bhi zakhmi hai
Behaal sakina hai meri bhuki hai bohut aur pyaasi hai
Kehti hai ro ro kar banu godi mein merey na asghar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

6. Hai baarah galo mein ek rasan dukta hai galaa ghut ta hai dum
Zulmat ki ghata-e- chaen hain dil mein hai merey shabbir ka gham
Ye kaisi musibaat aae hai gherey hue hum ko sitamgar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

7. Ahmed ne jo ye noha likha dil kaamp utha gham se uska
Irfan ghame zainab mein jab rote hue is nohay ko padha
Karte hain sabhi aaho-zaari har simpt mein barpa mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Shahaada [English Version] Lyrics - Fez Meghani
  2. Without You Lyrics - Sami Yusuf
  3. Oh Allah Lyrics - Tom Robertson
  4. Mera Dil Badal De Lyrics - Junaid Jamshed
  5. Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. Allahu Lyrics - Nader Khan
  7. Close To You Lyrics - Maher Zain
  8. Nabi Ka Zikar Hi Lyrics - Umair Zubair Qadri
  9. Every Beat Lyrics - Aashiq al-Rasul
  10. Tajdar e Haram Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. My Mum is Amazing Lyrics - Zain Bhikha
  12. Light of the Worlds Lyrics - Aashiq al-Rasul
  13. Allah Almighty Lyrics - Ahmed Bukhatir
  14. Khayal Lyrics - Irfan Makki
  15. Iman Ramzan Lyrics - Aamir Liaquat
  16. Wo Charag e Deen e Muhammadi Lyrics - Naat Lyrics
  17. Qabu Mein Nahin Rehtay Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  18. Shine Lyrics - Sami Yusuf
  19. I Love You So Lyrics - Maher Zain
  20. Ya Zal Jalali Wal Ikram Lyrics - Urdu Hamds
  21. Ya RasoolAllah Karam Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  22. Kaash Yeh Dua Meri Moojazay Main Dhal Jaye Lyrics - Hooria Rafiq
  23. Al Malik Lyrics - Hesham Abdul Wahab
  24. Rooh e Shabbir Woh Manzar To Bata Lyrics - Milad Raza Qadri
  25. Mera Sehreyan Wala Akber Lyrics - Dhamani Sisters

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x