Noori Mehfil Pay Chadar Tani Noor Ki Lyrics - Siddique Ismail

By: 

Noori Mehfil Pay Chadar Tanni Noor Ki Lyrics


Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
Noor phela huwa aaj ki raat hai.
Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
Kon jalwa numa aaj ki raat hai.

Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
Badnasibi hai uski jo mehroom hai,
Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.

Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
Aasman say malaik hain aaye huey
Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.

Manglo Mang lo chashme tar mang lo
Dard e dil aur husn e nazar manglo
Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
Mangnay ka maza aaj ki raat hai.

Momino aaj ganj e sakha lutlo
Lutlo aie marizo shifa lootlo
Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
Babay rehmat khula aaj ki raat hai.

Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
Do salami Muhammed ki barat ko
Choom lo chum lo aaj ki raat ko
Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.

Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.

Naat Information
Naat Khawan: Siddique Ismail
Naat: Noori Mehfil Pay Chadar Tani Noor Ki
Album: Mujhko Taiba Bulalo


More Islamic Lyrics

  1. Rukh Sey Kakul Hata Diya Tu Nay Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. Allah Allah Nabi Ka Gharana Lyrics - Milad Raza Qadri
  3. Imagine Lyrics - Adam Ali
  4. Peace & Blessings Lyrics - Raef
  5. Gaza Lyrics - Native Deen
  6. Bagh Jannat Kay Hain Lyrics - Milad Raza Qadri
  7. Afreen Afreen Lyrics - Aashiq al-Rasul
  8. Morning Lyrics - Gaith Adhami
  9. Allah, what a mighty heart Lyrics - Voices Of Passion
  10. The Quest Lyrics - Nader Khan
  11. A’marona A’malona Lyrics - Maher Zain
  12. Who is the Loved One? Lyrics - Sami Yusuf
  13. Free Lyrics - Zain Bhikha
  14. Allah’s Watching Me Lyrics - Asif Choudhury
  15. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  16. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Lyrics - Zulfiqar Ali
  17. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. Bheeni Suhani Subhu Mein Thankdak Jigar Ki Hai Lyrics - Naat Lyrics
  19. Dragged from Karbala Lyrics - Voices Of Passion
  20. Number One For Me Lyrics - Maher Zain
  21. Not Afraid To Stand Alone Lyrics - Native Deen
  22. Radhitu Billahi Rabba Lyrics - Maher Zain
  23. Aaya Kamli Wala Lyrics - Qari Shahid Mahmood
  24. Mein Jashn E Aamad E Sarkar Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics

COMMENTS

Subscribe
Notify of

72 Comments
Newest
Oldest Most Voted
72
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x