Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Aseer Ahsan Lyrics - Humood Alkhudher
  2. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  3. Jannah Lyrics - Maher Zain
  4. Beautiful World Lyrics - Noor
  5. Believe (Acoustic Version) Lyrics - Saif Adam
  6. Always Be There (French) Lyrics - Maher Zain
  7. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  8. Meditation Lyrics - Sami Yusuf
  9. Wherever You Are Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  10. Welcome to Madinah Lyrics - Khaleel Muhammad
  11. Every Morning Lyrics - Labbayk
  12. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics - Naat Lyrics
  13. Lord of Ramadan Lyrics - CoTu
  14. Haleema Main Tere Muqadran Tu Sadqe Lyrics - Naat Lyrics
  15. Is It True Lyrics - Abdullah Rolle
  16. SubhanAllah Lyrics - Maher Zain
  17. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  18. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  19. Allahumma Salli ‘ala Muhammed Lyrics - Aashiq al-Rasul
  20. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  21. Kivain Mukhre Toon Nazran Hatawan Lyrics - Milad Raza Qadri
  22. Without You Lyrics - Sami Yusuf
  23. Mere Aaqa Ki Shaan Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  24. The Path of a Traveller Lyrics - Labbayk
  25. Bazm-e-Konain Sajanain Kayliyay Aap Aeye Lyrics - Various Artists

COMMENTS

Subscribe
Notify of

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x