Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics
Jab aaye jahan mein Muhammad, Rehmat ki badariya chayi,
Butt keh kay giray munn kay bal, Aaqa ki sawari aayi!
Tera noor hai noor e Illahi, kabzay mein Khuda ki khudayi,
Nahin itni kalam mein taqat, likhay meray Nabi ki barai.
Yeh hain dono jahan kay sarwar, boli Halima dayi.
Jab aaye jahan mein Muhammad…
Zulmat ke chatay hain badal, rehmat ki huyi hai hal chal,
Jab aaye kamaliya wale, rehmat huye hain ujalay,
Aaqa nay mitayi jahan say, Abu Jahal ki burayi.
Jab aaye jahan main Muhammad…
Qadmoon main hai unkay Janat, yeh hai meray Nabi ki azmat,
Yeh baat hai bando haqeeqat, Aadam ki huyi hai shafa’at,
Jab aaya khiyal e Muhammad, Aadam nay di hai duhai.
Jab aaye jahan mein Muhammad…
Batlao gay jo sach mujhko, manoon ga Nabi jab tumko,
Muthi main batao kiya hai, yeh pucha Shah e Umam ko,
Kankar nay parha jab kalma, Abu Jahel ne moun ki khayi.
Jab aaye jahan main Muhammad…
Abu Bakr o Umar aur Farooq, Usman o Ghani aur Haider,
Chamkaya inka muqadar, hai haath Nabi ka sar par,
Sarkar nay dono jahan mein, azmat charoon ki barhai.
Jab aaye jahan mein Muhammad…
Hai saath Nabi kay rehmat, Allah ko hai unsay chahat,
Nabiyoon ki karein woh imamat, hai pusht pay mohray nabuwa’at,
Mehboob hain yeh to Khuda kay, Quran nay di hai gawahi.
Jab aaye jahan mein Muhammad…
Bin dekhay RasoolAllah ko, na ishq ka daman choray,
Aik dant Nabi ka toota, sab dant Owais nay toray,
Aie [Qatil] na hum nay dekha, aisa koi shedai.
Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Habibi, Ya Muhammad…
COMMENTS