Dua e Ali (AS) Lyrics - Mesum Abbas

By: 

Dua e Ali (AS) Lyrics

Ya habibi ya Hussain

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.


More Islamic Lyrics

  1. Change our Hearts Lyrics - Abdullah Rolle
  2. Bekhud Kiye Dete Hain Lyrics - Aamir Liaquat
  3. Bazaar E Shaam Lyrics - Irfan Hussain
  4. Don’t Wanna Be Afraid No More Lyrics - Noor
  5. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  6. Kamli Wale Deh Darbar Di Gal Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  7. Celebrations Lyrics - Labbayk
  8. Ya Rabbi bil Mustafa Lyrics - Labbayk
  9. Aie Mahe Ramzan Alwada Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  10. Qabu Mein Nahin Rehtay Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  11. Oh Ali What Has Now Happened Lyrics - Voices Of Passion
  12. Saaeein Mawla Lyrics - Fez Meghani
  13. Uthi Nazar To Unke Karam Pe Thaher Gayi Lyrics - Naat Lyrics
  14. Ya Nabi Salam Alayka (Turkish Version – Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  15. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics - Aamir Fayyazi
  16. Har Taraf Anwaar Ki Barsaat Hai Lyrics - Various Artists
  17. Allah Hu Lyrics - Aashiq al-Rasul
  18. The Source Lyrics - Sami Yusuf
  19. Let You Know Lyrics - Labbayk
  20. Show Me Lyrics - Tom Robertson
  21. Every Beat Lyrics (Arabic & French) Lyrics - Aashiq al-Rasul
  22. Balady Ya Balady Lyrics - Hamza Namira
  23. Hasbun’ Allah Lyrics - Zain Bhikha
  24. Al-Mu’allim Lyrics - Sami Yusuf
  25. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x