Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics - Dhamani Sisters

By: 

Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics

Kuley iman Ali (x2)

Kuley iman Hussain (x2)
Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Deen ki shaan Ali (x2)
Deen ki shaan Hussain

Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)
Shah wAliyon ka Ali (x2) Nabiyon ka sultan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Hain bila fasl yeh donon he nabi ki zeenat (x2)
Aik sardar e jinan air qaseem e jannat


Adl e allah Ali (x2) adl ki mezan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Chashm e khAliq mein hain ek doojay kay humsar donon
Aik nisbat say hai kul nabion say bartar donon
Nafs e ahmed hai Ali (x2) zehra ki hai jaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Sarey alam kay liye saray jahanon kay liye (x2)
Sab zameenon kay liye saray zamanon kay liye
Rab ki rehmat hai Ali (x2) rab ka hai ahsan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Yeh tow khud nabion ka sultan gawahi daygha (x2)
Haan isi baat pay quran gawahi dayga
Nuqta e baa hai Ali (x2) bolta quran Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik hai khana e kaba ka bananay wala (x2)
Aik hai kalma e tauheed bachanay wala
Zamin e kaba Ali (x2) aur nigehban husaain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik ney nabion say her lamha e mushkil taala (x2)
Aik ney fitrus o rahib ka muqaddar badla
Hai Ali amr e khuda (x2) rehmat e rehman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik khAliq ki razaon ka khareedar bana (x2)
Aik woh jiska khuda aap talabgar bana
Yani haider ki tarha (x2) rab kay hai arman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik be zar ko abuzar hai bananay wala (x2)
Aik hai hur ko jahanum say churanay wala
Meherban jaisa Ali (x2) waisa meherban Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aaj bhi deen e payaamber yeh sada daita hai (x2)
Ab bhi islam ka pekar yeh sada daita hai
Mera rutba hai Ali (x2) hai mera ailan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Na to dola hai na dolay ga aqeeda mera (x2)
Raat din noor Ali hai yeh wazeefa mera
Mera mazhab hai Ali (x2) hai mera eman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)

Lyrics Information
Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009


More Islamic Lyrics

  1. Pohnchoon Dar e Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  2. Morning Prayer Lyrics - Tom Robertson
  3. Thula Sizwe Lyrics - Zain Bhikha
  4. Sarkar Kay Dar Per Jaaoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. O Muhammed Lyrics - Shpend Limani
  6. SubhanAllah Lyrics - Native Deen
  7. Zainab Ka Wasta Lyrics - Dhamani Sisters
  8. Tanam Farsooda Jaan Para Lyrics - Zulfiqar Ali
  9. Uthi Nazar To Unke Karam Pe Thaher Gayi Lyrics - Naat Lyrics
  10. Asmaa Al-Husna Lyrics - Aashiq al-Rasul
  11. Nibhalo Tum Ya Rasoolallah Lyrics - Naat Lyrics
  12. Kivain Mukhre Toon Nazran Hatawan Lyrics - Milad Raza Qadri
  13. Masha Allah Lyrics - Maher Zain
  14. The One Lyrics - Harris J.
  15. He is One Lyrics - Tom Robertson
  16. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  17. Who is the Loved One? Lyrics - Sami Yusuf
  18. Autumn Lyrics - Sami Yusuf
  19. Heal the World Lyrics - Zain Bhikha
  20. Kya Bayaan Azmatein Houn Teri Shaha Lyrics - Naat Lyrics
  21. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  22. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  23. Mujh Pey Be Chashme Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  24. Freedom Tree Lyrics - Gaith Adhami
  25. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x