Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Lyrics - Waheed Zafar Qasmi

By: 

Kya Khabar Kya Saza Lyrics

Kya khabar kiya saza mujh ko milti
Meray Aqa(S.A.W) nay izzat bachali.

Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni(S.A.W) chupali.

Woh (S.A.W) aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale.

Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Data hain waisay sawali.

Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan (S.A.W) Hain.

Yeh Ghulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali.

Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gai hai.

Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali.

Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai.

Unke (S.A.W) qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jali.

Mein faqat naam lewa houn Unka (S.A.W)
Unki(S.A.W) tauseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal (Allama Sir Muhammad Iqbal), Qusro (Amir Khusro) na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali.

Kya Khaber kya saza mujhko milti
Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali.

Lyrics Information:

Recited By: Qari Waheed Zafar Qasmi
Other: Lyrics are in Roman Urdu.
Lyrics are provided by Tehmina (site visitor)


More Islamic Lyrics

  1. Aiy Taiba Lyrics - Junaid Jamshed
  2. Ramadan (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  3. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed
  4. The Way of Love Lyrics - Maher Zain
  5. Ajaban Lyrics - Ahmed Bukhatir
  6. Prism Lyrics - Sami Yusuf
  7. Free Lyrics - Sami Yusuf
  8. Allah The Almighty Lyrics - Aashiq al-Rasul
  9. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  10. Not Afraid To Stand Alone Lyrics - Native Deen
  11. Dryer Land Lyrics - Sami Yusuf
  12. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan Lyrics - Milad Raza Qadri
  13. One God Lyrics - Zain Bhikha
  14. Hye Hum Yateem Ho Gaye Lyrics - Dhamani Sisters
  15. Mother (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  16. Lagiyan Ne Mojan Lyrics - Owais Raza Qadri
  17. Aaj Duniya Main Khair-ul-Wara Agaey Lyrics - Milad Raza Qadri
  18. Ca C’est La Vie Lyrics - Zain Bhikha
  19. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Praise & Glory Lyrics - Aashiq al-Rasul
  22. Muslimano Karo Khushiya Muhammad Mustafa Aaya Lyrics - Qazi Wasim Abbas
  23. Makes Me Crazy Lyrics - Kareem Salama
  24. Likh Raha Hoon Naat E Sarwar Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. Palestine Lyrics - Irfan Makki

COMMENTS

Subscribe
Notify of

26 Comments
Newest
Oldest Most Voted
26
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x