Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Home Lyrics - Raef
  2. Muhammad (PBUH) Lyrics - Zain Bhikha
  3. Durood e Taj Lyrics - Durood Shareef
  4. Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The Lyrics - Naat Lyrics
  6. Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  8. Subhanallah (Subhan Allah) Lyrics - Khaleel Muhammad
  9. ‘Asheqan Lyrics - Sami Yusuf
  10. Bismillah Lyrics - Aashiq al-Rasul
  11. Mar Kay Apni Hee Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  12. My Faith My Voice Lyrics - Native Deen
  13. Aie Sabz Gumbad Wale Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Dream Lyrics - Raef
  15. Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. Dil Karda Allah Allah Lyrics - Umair Zubair Qadri
  17. Close To You Lyrics - Maher Zain
  18. Treachery repeating in Kufa Lyrics - Voices Of Passion
  19. Assalamu Alayka Lyrics - Maher Zain
  20. Balady Ya Balady Lyrics - Hamza Namira
  21. The Mountain Lyrics - Tom Robertson
  22. The Chosen One Lyrics - Maher Zain
  23. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  24. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  25. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x