Zahe Muqaddar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi

By: 

Zahe Muqaddar Lyrics

 

Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya
Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya.

Yeh kon sar say kafan lapatay, chala hai ulfat kay rastay par
Farishtay hairat say tak rahe hain yeh kon zy ehteram aaya.

Faza main labbaik ki sadain, zah farishta aarsh goonjti hain
Har aik qurban ho raha hai, zaban pay yeh kis ka naam aaya.

Yeh rah e haq hai! sambhal kay chalna! yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par, to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.

Yeh kehna aaqa bohat say aashiq taraptay say chor aaya houn main
Bulaway kay muntazir hain lekin, na subho aaya na shaam aaya.

Dua jo nikli thi dil say aakhir, palat kay maqbool ho kay aayi
Woh jazba jis main tarap thi sachi, woh jazba aakhir ko kaam aaya.

Khuda tera hafiz o nigehban, Oh rah e bat’ha kay janay wale
Nabi de sad inbisat ban kar, payam darood o salaam aaya.

Zahay muqadar huzur e haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.

Lyrics Information:
Recited By: Qari Waheed Zafar Qasmi


More Islamic Lyrics

  1. Rukh Sey Kakul Hata Diya Tu Nay Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. My Beloved Lyrics - Ahmad Hussain
  3. Shahe Madina Lyrics - Saira Naseem
  4. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  5. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  6. The Rope Lyrics - Gaith Adhami
  7. Bano Ka Yeh Arman Tha Lyrics - Dhamani Sisters
  8. Hamziyya Lyrics - Sami Yusuf
  9. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Lyrics - Zulfiqar Ali
  10. Our Creation Lyrics - Tom Robertson
  11. True Love Lyrics - Maher Zain
  12. Your Beauty Lyrics - Tom Robertson
  13. [Rabbee] I’m Yours Lyrics - Raef
  14. Look Into My Eyes Lyrics - Outlandish
  15. Zameen Maili Nahi Hoti Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  16. Ali Da Malang Mein Tey Ali Da Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Broken Lyrics - Zain Bhikha
  18. Marhaba Ya Rasoolallah Lyrics - Farhan Ali Qadri
  19. Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Lyrics - Shaz Khan
  20. Aye Shaam Terey Bazaaron Se Lyrics - Irfan Hussain
  21. Circle Lyrics - Sami Yusuf
  22. Imagine A Day Lyrics - Labbayk
  23. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  25. Welcome to Madinah Lyrics - Khaleel Muhammad

COMMENTS

Subscribe
Notify of

90 Comments
Newest
Oldest Most Voted
90
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x