Hum Faqiroon Ko Madine Ki Galli Achi Lagi Lyrics
Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.
Door thay to zindagi bay rang thi be-kaif thi,
Unkay kuchey main ga’ey to, zindagi achi lagi.
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagi.
Naaz kar tu aey Halima Sarwar-e-Kownain par,
Gar lagi achi to teri jhownparhi achi lagi.
Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay sultanoon nay sar,
Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi ach-chii lagi.
Mahr-o-mah ki roshani mana kay achi hai magar,
Sabz gunbad ki mujhey to, roshani achi lagi.
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi,
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagi…
Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.
Naat Information:
Naat Reciter: Syed Fasihuddin Soharwardi
COMMENTS