Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Lyrics - Nadeem Sarwar

By: 

Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Houn Lyrics

Mujhe pay kyun band karte ho paani

Ya Hussain x3
Mera nana Nabi, meri maa Sayyada
Mera baba Ali, mera bhai Hasan
Hum hi hein Panjatan
Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
Kiya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein Zahra ka jaya nahin hun x3
Kya Nabi ka nawasa nahin hun

1. Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunaya x2
Kya ma nana ka saaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

2. Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka dar he x2
Kya mein us ghar mein khela nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun


3. Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulaya x2
Apna bachpan mein bhula nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

4. Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana tha x2
Kya mein unka dulhara nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

5. Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjha x2
Paas asghar ke jaata nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

6. Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtal x2
Jang karne mein aya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun

7. Ik sada thi ye Rehaan-o-Sarwar
Kehrahe the Hussain ibne haider x2
Kya mein mehman aaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein zahra ka jaya nahin hun x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun

Noha Information:
Noha Reciter: Nadeem Sarwar Sons ( Syed Muhammad Ali Shanawar & Syed Muhammad Ali Ji )
Album: Nadeem Sarwar – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Without You Lyrics - Sami Yusuf
  2. Every Beat Lyrics - Aashiq al-Rasul
  3. Khair Karam Wala Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  4. For the Rest of My Life Lyrics - Maher Zain
  5. Tere Qurbaan Nabi Nazar e Karam Hum Pe Huyi Lyrics - Naat Lyrics
  6. Ramadan Assalam Lyrics - Aamir Liaquat
  7. Morning Musk Lyrics - Gaith Adhami
  8. Jashne Aamede Rasool Lyrics - Shaam
  9. Mein Tere Samne Lyrics - Ali Haider
  10. Khorasan Lyrics - Sami Yusuf
  11. Ab Meri Nigahoon Main Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  12. Zainab Ka Wasta Lyrics - Dhamani Sisters
  13. Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Hum Apne Nabi Ke Deewane Lyrics - Ahmad Raza Qadri
  15. Eid Song Lyrics - Sami Yusuf
  16. Madinay Mein Yeh Hotey Hain Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Tauba Qabool Ho Lyrics - Mahmood Ul Hassan Ashrafi
  18. Kaash Yeh Dua Meri Moojazay Main Dhal Jaye Lyrics - Hooria Rafiq
  19. Imagine A Day Lyrics - Labbayk
  20. My Faith My Voice Lyrics - Native Deen
  21. Jalwa e Jaana Lyrics - Junaid Jamshed
  22. First We Need the Love Lyrics - Zain Bhikha
  23. Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Tuntunku KepadaMu Lyrics - Maher Zain
  25. Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

188 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
188
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x