Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics

Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye

Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye

Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye

Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye

Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye

Bheek ‘Ilm o ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam e ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
Waqt e Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye

Sharf e Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye

Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye

Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir e Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye


More Islamic Lyrics

  1. Zara Chehre Se Lyrics - Ahmad Hussain
  2. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  3. Sir Bulandi Ki Riwayat Sir Katany Say Chali Lyrics - Owais Raza Qadri
  4. Follow Muhammad Lyrics - Khaleel Muhammad
  5. Ya Taybah Lyrics - Native Deen
  6. Khusravi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  7. Aa Gaey Sarkar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  8. Dua e Ali (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  9. Idhar Hazaron Nabi o Mursal Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  10. Hushed Lyrics - Gaith Adhami
  11. Ya Taiba Lyrics - Various Artists
  12. Do Bar Namaz Shaheed Hui Lyrics - Qurban Jafri
  13. Your Beauty Lyrics - Tom Robertson
  14. C’mon Everybody Lyrics - Zain Bhikha
  15. The Key Lyrics - Sami Yusuf
  16. Balaghal Ula Bekamaalaihi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  17. Believe (Acoustic Version) Lyrics - Saif Adam
  18. Ramadan Lyrics - Maher Zain
  19. Hasbun’ Allah Lyrics - Zain Bhikha
  20. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  21. The Rope Lyrics - Gaith Adhami
  22. Oh Allah Lyrics - Fez Meghani
  23. Good Day Lyrics - Maher Zain
  24. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha
  25. Lament Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

3 Comments
Newest
Oldest Most Voted
3
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x