Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics
Ahmad Raza ka taza gulistan hai aaj bhi
Khursheed ‘ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi
‘arsah hua woh mard e mujaahid chalaa gayaa
sunniyon main aik sozish e pinhaan hai aaj bhi
imaan paa rahaa hai halaawat ki naematein
aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi
kis tarah itne ‘ilm ke daryaa bahaa deyee
‘ulamaa e haq ki ‘aql to hayraan hai aaj bhi
maghmum ahl e ‘ilm nah hon kyun tere liye
jab ‘ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi
sab unke jalne walon ke ghu ho gaye chiraagh
Ahmad Raza ki sham’a farozaan hai aaj bhi
‘ishq e Habib e Paak mein dubaa hua kalaam
sarmaayah nishaat sukhandaan hai aaj bhi
(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)
bhar di diloun mein ulfat o ‘azmat Rasul ki
jo makhzan e halaawat e imaan hai aaj bhi
(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)
tum kya gaye ke rawnaq e mehfil chali gayei
sh’er o adab ki zulf e pareshaan hai aaj bhi
‘aalim ki mawt kehte hain ‘aalam ki mawt hai
apne kiye peh mawt pasheeman hai aaj bhi
wabastagaan kyun hon pareeshaan un peh jab
lutf o karam unka damaan hai aaj bhi
lillah apne faiz se ab kaam lejiye
fitnoun ke sar uthaane kaa imkaan hai aaj bhi
Taibah main us ki zaat salaamat rahe keh jo
teri amaanatoun kaa nighehbaan hai aaj bhi
Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liyee
‘ilm o ‘amal peh aap ka ihsaan hai aaj bhi
– Manqabat of Shaykh al Islam al Mujaddid al Aazam Imam Ahmad Rida
rahimahullahu Ta’ala
COMMENTS