Marhaba Bolo Marhaba Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Marhaba Bolo Marhaba Lyrics

Marhaba bolo marhaba, jhoom kar bolo marhaba
Sarkar ki aamad, Marhaba!
Sardar kee amad, Marhaba!
Huzur ki aamad, Marhaba!
Pur nur ki aamad, Marhaba!
Marhaba bolo marhaba…

Momino waqt e adab hai,
Aamad e mahboob e Rub hai
Jaye aadab o tarab hai,
Aamad e Shah e Arab hai

Marhaba bolo marhaba,
Jhoom kar bolo marhaba…

Utho aya taj wala,
Arsh ki aankhon ka tara,
Sab kaho aye mah e Taiba salatullah alaika
Marhaba bolo marhaba, jhoom kar bolo marhaba

Deen ka ho bol bala,
Sunniyun ka rukh ujala,
Dushmanon ka moun ho kala salawatullah alika
Marhaba bolo marhaba, jhoom kar bolo marhaba.

Sarkar kee amad, Marhaba!
Sardar ki aamad, Marhaba!
Huzur key aamad, Marhaba!
Pur nur kee aamad, Marhaba!
Aaqa ki aamad marhaba
Data ki aamad marhaba
Marhaba bolo marhaba….

Abray rehmat cha gaya hai, Kaabay pay jhanda gara hai
Babay rehmat aaj khula hai, aamad e shah e arab hai
Marhaba bolo marhaba, jhoom ker bolo marhaba.

Baj rahay hain shadianay bu’t lagay kalma sunanay
Har zaban pay hain taranay amad e shah e arab hai
Marhaba bolo marhaba, jhum ker bolo marhaba.

Amina Bibi ka jaya, barhaween tareekh aaya
Subh e sadiq nay sunaya salawat ullah alaika
Marhaba bolo marhaba, jhoom ker bolo marhaba.

Sarkar ki aamad, Marhaba!
Sardar kee amad, Marhaba!
Huzur ki aamad, Marhaba!
Pur nur ki aamad, Marhaba!
Aaqa ki aamad marhaba
Data ki aamad marhaba
Marhaba bolo marhaba….

Bakhsh do meri khataein dur houn gham ki ghataein
Bhej do apni ataien salawat ullah alaika
Marhaba bolo marhaba, jhum ker bolo marhaba.

Is Jamil e Qadri per ho karam Mehboob e Dawar
Chasm o dil kar do munawar salawat ullah alaika
Marhaba bolo marhaba, jhum ker bolo marhaba.

Sarkar ki aamad, Marhaba!
Sardar kee amad, Marhaba!
Huzur ki aamad, Marhaba!
Pur nur ki aamad, Marhaba!
Aaqa ki aamad marhaba
Data ki aamad marhaba
Yaseen ki aamad marhaba
Taha ki aamad marhaba
Marhaba bolo marhaba, jhum ker bolo marhaba.


More Islamic Lyrics

  1. This Worldly Life Dunya Lyrics - Maher Zain
  2. Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Lyrics - Shaz Khan
  3. Aaj Aaye Nabiyon Kay Sardar Marhaba Lyrics - Owais Raza Qadri
  4. Allah Lyrics - Shpend Limani
  5. Make Me Strong Lyrics - Sami Yusuf
  6. Ya Nabi Salam Alayka (Arabic) Lyrics - Maher Zain
  7. I Love You So Lyrics - Maher Zain
  8. Shahaada [Urdu Version] Lyrics - Fez Meghani
  9. Ya Taybah Lyrics - Native Deen
  10. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  11. Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics - Naat Lyrics
  12. A Way Of Life Lyrics - Zain Bhikha
  13. Faslon Ko Takalluf Lyrics - Nader Khan
  14. Selam Sana (Turkish-Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  15. Madad Kijiye Ya Imam e Zamana Lyrics - Dhamani Sisters
  16. Salam Alaikum Lyrics - Harris J.
  17. Mother (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  18. Circle Lyrics - Sami Yusuf
  19. Bewaa Ka Sahara Lyrics - Irfan Hussain
  20. Mein Jashn E Aamad E Sarkar Lyrics - Owais Raza Qadri
  21. Not In My Name Lyrics - Sami Yusuf
  22. So Real Lyrics - Raef
  23. Healing Lyrics - Sami Yusuf
  24. Let Me Breathe Lyrics - Harris J.
  25. Sultan e Karbala Ko Hamara Salam Ho Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

37 Comments
Newest
Oldest Most Voted
37
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x