Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics


Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale

Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Wale

Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun
Yun Damakte Hain Damakne Wale

Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz
Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale

Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain
Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale

Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahin Haath Jhatakne Wale

Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna
Phalte Hain Paude Lachakne Wale

Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain
Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale

Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao
Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale

Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe
Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale

Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale

Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi
Kya Hansa Gunche Chatakne Wale

Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa
Aah! O Patte Khadakne Wale

Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha
Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale

Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal
Phoot Behte Hain Tapakne Wale

Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid
Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale

Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza
Paanch Fawware Chhalakne Wale


More Islamic Lyrics

  1. La ilaha illa Allah Lyrics - Taha Hosna
  2. Barakah Lyrics - Sami Yusuf
  3. The Passing Traveller Lyrics - Zain Bhikha
  4. Tauba Qabool Ho Lyrics - Mahmood Ul Hassan Ashrafi
  5. Radhitu Billahi Rabba (Arabic Version) Lyrics - Maher Zain
  6. Wohi Sab Say Meeti Zubaan Hai Lyrics - Various Artists
  7. Without You Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  8. Pak Sar Zameen Shad Bad Lyrics - Pakistani National Anthem
  9. Teri Mehfil Mein Chala Aya Hun Lyrics - Syed Zabeeb Masood
  10. Imdad Kun Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Sari Gelin Lyrics - Sami Yusuf
  12. Hum Apne Nabi Ke Deewane Lyrics - Ahmad Raza Qadri
  13. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Al-Hamdu Li’Llah Lyrics - Sami Yusuf
  15. Ramzan Ke Roze Aye Lyrics - Muzammil Hassan Qadri
  16. Naat by Hazrat Uthman ibn Affan “Ghani” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  17. As Subhu Badaa Lyrics - Aashiq al-Rasul
  18. Allahu Lyrics - Irfan Makki
  19. Allah Knows Lyrics - Zain Bhikha
  20. Treachery repeating in Kufa Lyrics - Voices Of Passion
  21. Ala Bi Dhikrika Lyrics - Sami Yusuf
  22. Mabrook Lyrics - Irfan Makki
  23. You Came To Me (Farsi) Lyrics - Sami Yusuf
  24. Supplication Lyrics - Sami Yusuf
  25. Qadam Qadam Pe Khuda Ki Madad Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x