Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics - Naat Lyrics

By: 

Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics

Allah ke Huzoor me sar ko jhukaa ke dekh
Allah ke huzoor mein sar ko jhuka ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajday mein ja ke dekh

Woh kushnaseeb hai, jise manzoor hai namaz x2
Momin ki paak rooh ka ik noor hai namaz
Shaitan ki bohat say bohat door hai namaz
Dil ko Khuda ki yaad ka maskan bana kay dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Barkat hazar saath hai lati hai yeh namaz x2
Jalwa Khuda ka saath dekhati hai yeh namaz
Bande ko apne Rab say milati hai yeh namaz
Milna hai agar Khuda say, musalah bicha ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Munkir Nakeer qabr mein poochein gay jab hisaab x2
Day gi namaz khud hi namazi ka sab jawab
Mitt jaye ga namaz say sab qabr ka azab
Uss Rab ul Alameen say toh loh laga ke dekh
Milta hai kiya namaz main, sajda main ja ke dekh x2

Uss Rab e Zuljalal ki marzi namaz hai x2
Bakhshish ki aur najat ki sirhi namaz hai
Darwaza e Bahisht ki kunji namaz hai
Sab kuch mile ga khud ko namazi bana ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Woh Rab ul Alameen hai, Mukhtar hai wohi
Rehman hai, Raheem hai, Ghafar hai wohi
Beshak teri namaz ka haqdar hai wohi
Naraz ho na jaye, ooh bande Khuda ke dekh
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh x2

Allah ke Huzoor sar ko jhuka ke dekh x2
Milta hai kiya namaz mein, sajde mein ja ke dekh


More Islamic Lyrics

  1. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  2. The Path Lyrics - Raef
  3. Holy Water Lyrics - Gaith Adhami
  4. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  5. Pak Sar Zameen Shad Bad Lyrics - Pakistani National Anthem
  6. Tera Naam Virde Zubaan Rahay Lyrics - Milad Raza Qadri
  7. One God Lyrics - Zain Bhikha
  8. The Sound of Tears Lyrics - Nader Khan
  9. Allah Knows Lyrics - Zain Bhikha
  10. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 3-3] Lyrics - Aslam Sabri
  11. Ya Mustafa Lyrics - Adam Ali
  12. Ooj Pana Mere Huzoor Ka Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Ya Hayyu Ya Qayyum Lyrics - Sami Yusuf
  14. Haq Allah Lyrics - Farhan Ali Qadri
  15. Alwida Alwida Mahe Ramzan Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  16. Hum Ko Bulana Ya Rasoolallah Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Dryer Land Lyrics - Sami Yusuf
  18. Generous Peace Lyrics - Kareem Salama
  19. Aagaya Hai Lyrics - Labbayk
  20. Madad Kijiye Ya Imam e Zamana Lyrics - Dhamani Sisters
  21. Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  23. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  24. Meri Zanjeer Na Kehncho Lyrics - Shahid Baltistani
  25. Allah’s Watching Me Lyrics - Asif Choudhury

COMMENTS

Subscribe
Notify of

15 Comments
Newest
Oldest Most Voted
15
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x