Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Firaq-e-Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics


Firaaq-e-madinah mein dil ghamzada hai,
Jigar tukray tukray hua ja raha hai.

Chura kar madinah mera chain cheena,
Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai.

Meri aankh se cheena taiba ka manzar,
Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai.

Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko,
Na shikwa kisi se na koi gila hai.

Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar,
Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai.

Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho,
Nazar mein madinah meri iltija hai.

Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein,
Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai.

Sukoon tha mujhe koocha-e-mustafa mein,
Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai.

Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per,
Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai.

Na chootay mere haath se un ka daaman,
Jiyun jab talak ya khuda yeh dua hai.

Mein lafzon mein kaise bata doon kisi ko,
Kay kia kia mujhe aaj yaad aa raha hai.

Paharon ki dilkash sitaron kay jalway,
Woh manzar mujhe aaj yaad aa raha hai.

Unhe choomna haath lehra kay paiham,
Woh lamha mujhe aaj yaad aa raha hai.

Aqeedat se khaak-e-madinah utha kar,
Use choomna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi deed-e-sarwar ki hasrat mein minbar,
Ko takna woh chup chup kay yaad aa raha hai.

Haseeno jamil piyaari woh jannat ki kiyari,
Wahan baithna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi dekh kar subz gumbad ka manzar,
Jhukana nazar aaj yaad aa raha hai.

Urdu Naat Information:
Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza


More Islamic Lyrics

  1. Marhaba Mustafa Lyrics - A. R. Rahman
  2. Oh Allah Lyrics - Fez Meghani
  3. Although I Never Saw His Face Lyrics - Zain Bhikha
  4. Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri
  5. Bano Ka Yeh Arman Tha Lyrics - Dhamani Sisters
  6. My Only Wish (interlude) Lyrics - Sami Yusuf
  7. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. Mazagh Nigahon Nein Lyrics - Milad Raza Qadri
  9. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  10. Zainab Ka Wasta Lyrics - Dhamani Sisters
  11. Mera Asghar Kafi Hai Lyrics - Shahid Baltistani
  12. He Is There Lyrics - Sami Yusuf
  13. Don’t Talk To Me About Muhammad Lyrics - Dawud Wharnsby
  14. Bekhud Kiye Dete Hain Lyrics - Aamir Liaquat
  15. Extracts of Qasida Burda Lyrics - Various Artists
  16. Tujhay Dhoondta Tha Mein Chaar Soo Lyrics - Urdu Hamds
  17. A is for Allah Lyrics - Yusuf Islam
  18. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab Lyrics - Owais Raza Qadri
  19. Al-Hamdu Li’Llah Lyrics - Sami Yusuf
  20. The Creator Lyrics - Sami Yusuf
  21. Rabbee Yebarik Lyrics - Maher Zain
  22. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  23. Ring in the Desert Lyrics - Gaith Adhami
  24. Palestine Lyrics - Irfan Makki
  25. Jalwa e Jaana Lyrics - Junaid Jamshed

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

5 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
5
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x