Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters

By: 

Lut Ke Ayi Hu Mein Nana Jaan Lyrics

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Kiya batoon nana jaan kis kadar huye sitam
Qarbala say Shaam tak har qadam milaye hain gham
Dard ki suno zara azaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Chor kar watan chala par’aye dais kafila
Dard baikasi azee’atoon ka silsila mila
Qarbala jo pohncha karwaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Aik roz mein ujar gayi thi aale Mustafa
Bach saka na zulm koi, jo bacha woh sabr tha
Ho raha tha girya o fugha, ghar mera ujar ke rah gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Bazoo cut gaye firaat per jari daleir kay
Mashaq kiya chiri kay totay honslay bhi sheir kay
Ho gaye Haram bhi bay aaman, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Khak per ragar raha hai airiyaan jawan pisar
Khogayi bisaratay Hussain jab suni khabar
Bein kar rahi hai rokay maan, gher meira ujhar kay rahgaya.

Lut kay aayi houn main nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Meray shair meray ladlay bhi ran mein so gaye
Teen roz kay yeh bhukay piyaasay katal ho gaye
Dasht main tha hashr ka saman, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut key ayi houn mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Haye bay zubaan sheer khuwar bhi na bach saka
Kurmula kay teer say gala jo uska chir gaya
Tash’na lub raha woh bay zubaan, ghar mera ujhar kay rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay rah gaya.

Kiya karoon bayaan nana waqt woh ajeeb tha
Tashna lub Hussain tera kis qadar ghareeb tha
Bhai pay tha sakhat imtehan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Bade shah jal gaye khayam chin gayi rida
Iss dayar e ghair mein na tha koi bhi asra
Band gayein rasan say bibiyaan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Rok Safdar E Hazeen qalam kalam say khoon hai rawan
Bint e sayida kay bain say laraz gaya jahan
Jab kaha kay haye nana jaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Nawha Information

Nawha Recited By: Hashim Sisters ( Adeeya Hashim, Mahum Hashim, Saania Hashim )
Location of Reciters: London, UK
Album: Ghamkharan e Sakina 2008 Volume
Written By: Safdar Abbas.


More Islamic Lyrics

  1. Sabke Hain Muhammad Lyrics - Imran Shaikh Attari
  2. Silent Words Lyrics - Sami Yusuf
  3. Awaken Lyrics - Maher Zain
  4. Wa Hassan Sabz E Qaba Lyrics - Shahid Baltistani
  5. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  6. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Where’s the Love? Lyrics - Khaleel Muhammad
  8. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  9. We are here Lyrics - Aashiq al-Rasul
  10. Palestine Lyrics - Labbayk
  11. Morning Musk Lyrics - Gaith Adhami
  12. Doori Lyrics - Hamza Namira
  13. Allah, what a mighty heart Lyrics - Voices Of Passion
  14. Ya Taiba Lyrics - Ahmad Hussain
  15. Light of the Worlds Lyrics - Aashiq al-Rasul
  16. Greatest One Lyrics - Native Deen
  17. Chalo Namaz Parhein Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  18. Bewaa Ka Sahara Lyrics - Irfan Hussain
  19. Forever Palestine Lyrics - Sami Yusuf
  20. Best of Creation Lyrics - Labbayk
  21. Kaash Yeh Dua Meri Moojazay Main Dhal Jaye Lyrics - Hooria Rafiq
  22. Ya Zal Jalali Wal Ikram Lyrics - Urdu Hamds
  23. Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics - Shadman Raza
  24. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  25. Hope Survives Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of

12 Comments
Newest
Oldest Most Voted
12
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x