Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics
Saba ka seena banay safeena
Zara tabiyat rawan dawan ho
Durood ki anjuman sajaoon
Dahn mein Jibrail ki zubaan ho
Khayal ho salsbeel jaisa
Jal’oo mein lafzoon ka karwan ho.
Kahin Qabila ho Auliya ka,
Kahin pay Behlol ki dukaan ho.
Mein apni sochoon ko aab e Kausar mein ghusl de doon to imtihaan ho.
Agar yeh sab kuch milay to madh e Shahenshah e Mashriqain likhoon.
Haya ki takhti pay apni palkoon say,
Phir mein Lafz e Hussain likhoon
——– ————- ——–
Khuloos ki roshnai lay ker, ba deeda e tar Hussain likhna,
Tum aisa karna, kitab e dil kay warq warq per Hussain likhna.
Tumharay tareek manzroon mein, ujalay phootain gay noor ban kar,
Tum aisa karna, kay apnay ghar mein, durood parh ker Hussain likhna.
Hussain likh ker, phir isko likhna, phir isko likh kar tum aisa karna,
Jo aaj tak bhi likha hai tum nay, tum uska mehwar Hussain likhna.
Woh barchiyaan woh chamaktay khanjar, woh tapta sehra pukartay hain,
Tum aisa kerna, tum aisa kerna, ke Karbala ke badan per ja ker Hussain likhna.
Agar kitabat ka shouq ho jo tum ko, kitab e SABR O RAZA mein [Your Name],
Jahan shaheedon ka naam likho, to sab say upper “HUSSAIN” likhna.
Tum aisa karna, Hussain likhna, Hussain likhna!
COMMENTS