Aie Sabz Gumbad Wale Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
Ae parda nasheen dil ke parde mein raha kerna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna

Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Maqbool yeh aarz meri lillah zara kerna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay
Us dar say shifa paaye dukh dard kay maaron ne
Aataa hai unhein sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha
Ye shaan hi inki ke saaya bhi nahin dekha
Allah nay saaye ko chaha na judah karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna


More Islamic Lyrics

  1. Inna Fil Jannati Lyrics - Sami Yusuf
  2. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  3. Afreen Afreen Lyrics - Aashiq al-Rasul
  4. Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawasi Lyrics - Nadeem Sarwar
  5. ‘Asheqan Lyrics - Sami Yusuf
  6. Cadence Lyrics - Sami Yusuf
  7. The Creator Lyrics - Sami Yusuf
  8. Guantanamo Bay Lyrics - Zain Bhikha
  9. Hum Apne Nabi Ke Deewane Lyrics - Ahmad Raza Qadri
  10. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  11. Eid-un Sa’Eid Lyrics - Zain Bhikha
  12. Un Ki Mehak Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Taweel Al Shawq Lyrics - Ahmed Bukhatir
  15. Al-Amin Lyrics - Irfan Makki
  16. Numb Lyrics - Gaith Adhami
  17. Ala Bi Dhikrika Lyrics - Sami Yusuf
  18. You Came To Me Lyrics (feat. Dato’ Siti Nurhaliza) Lyrics - Sami Yusuf
  19. Freedom Tree Lyrics - Gaith Adhami
  20. This Worldly Life Dunya Lyrics - Maher Zain
  21. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  22. Morning Lyrics - Gaith Adhami
  23. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  24. Assalamu Alayka Lyrics - Maher Zain
  25. Ab To Bas Lyrics - Ahmad Hussain

COMMENTS

Subscribe
Notify of

181 Comments
Newest
Oldest Most Voted
181
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x