Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics - Wazir Syed

By: 

Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics

Saba ka seena banay safeena
Zara tabiyat rawan dawan ho
Durood ki anjuman sajaoon
Dahn mein Jibrail ki zubaan ho

Khayal ho salsbeel jaisa
Jal’oo mein lafzoon ka karwan ho.

Kahin Qabila ho Auliya ka,
Kahin pay Behlol ki dukaan ho.

Mein apni sochoon ko aab e Kausar mein ghusl de doon to imtihaan ho.
Agar yeh sab kuch milay to madh e Shahenshah e Mashriqain likhoon.

Haya ki takhti pay apni palkoon say,
Phir mein Lafz e Hussain likhoon

——– ————- ——–


Khuloos ki roshnai lay ker, ba deeda e tar Hussain likhna,
Tum aisa karna, kitab e dil kay warq warq per Hussain likhna.

Tumharay tareek manzroon mein, ujalay phootain gay noor ban kar,
Tum aisa karna, kay apnay ghar mein, durood parh ker Hussain likhna.

Hussain likh ker, phir isko likhna, phir isko likh kar tum aisa karna,
Jo aaj tak bhi likha hai tum nay, tum uska mehwar Hussain likhna.

Woh barchiyaan woh chamaktay khanjar, woh tapta sehra pukartay hain,
Tum aisa kerna, tum aisa kerna, ke Karbala ke badan per ja ker Hussain likhna.

Agar kitabat ka shouq ho jo tum ko, kitab e SABR O RAZA mein [Your Name],
Jahan shaheedon ka naam likho, to sab say upper “HUSSAIN” likhna.

Tum aisa karna, Hussain likhna, Hussain likhna!


More Islamic Lyrics

  1. Freedom Lyrics - Maher Zain
  2. Without You Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  3. Ignorant Minds Lyrics - Tom Robertson
  4. Jannat Mein Lay Kay Jayay Gi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  5. Ya Rabbee Lyrics - Adam Ali
  6. I’ve Seen Lyrics - Outlandish
  7. Good Day Lyrics - Maher Zain
  8. Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa Lyrics - Hooria Rafiq
  9. Lab Pe Naat e Nabi Ka Lyrics - Aamir Liaquat
  10. Aaqa Ka Milad Aaya [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Allah Almighty Lyrics - Ahmed Bukhatir
  12. Ya Nabi Salam Alayka (Arabic) Lyrics - Maher Zain
  13. I Love You So Lyrics - Maher Zain
  14. Huzoor Jante Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Call On Him Lyrics - Raef
  16. Paradise Lyrics - Harris J.
  17. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  18. Eik Boondh Bhi Lyrics - Mesum Abbas
  19. Let Us Not Forget Lyrics - Sami Yusuf
  20. SubhanAllah Lyrics - Native Deen
  21. Celebrate Lyrics - Aashiq al-Rasul
  22. La’alla Khair Lyrics - Humood Alkhudher
  23. Wo Charag e Deen e Muhammadi Lyrics - Naat Lyrics
  24. Aaqa Meriyan Akhiyan Madine Wich Reh Giyan Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  25. Allahu Allah Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x