Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka Lyrics - Imran Shaikh Attari

By: 

Hai Pak Rutba Fikr Say Us Bay Niaz Ka Lyrics

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka
Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka

Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey
Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka

‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko
Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka

Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain
‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka

Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain
Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain

Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee
Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka

Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey
Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka

Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm
Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka

Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka

Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan
Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

By: Ustaad e Zaman, Hazrat ‘Allama Hasan Raza Khan ‘Alaihir Rahmah
Source: Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka


More Islamic Lyrics

  1. Allah Knows Lyrics - Zain Bhikha
  2. Best of Creation Lyrics - Labbayk
  3. Make Me Strong Lyrics - Sami Yusuf
  4. Shahaada [Urdu Version] Lyrics - Fez Meghani
  5. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  6. Always Be There Lyrics - Maher Zain
  7. Mera Dil Badal De Lyrics - Junaid Jamshed
  8. Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics - Naat Lyrics
  9. Ooj Pana Mere Huzoor Ka Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  10. Guantanamo Bay Lyrics - Zain Bhikha
  11. Al-Amin Lyrics - Irfan Makki
  12. Missing You Lyrics - Ahmad Hussain
  13. Ask Him Lyrics - Labbayk
  14. Zameen o Zaman Tumhare Liye Lyrics - Khursheed Ahmad
  15. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  16. 25 Prophets Lyrics - Zain Bhikha
  17. Paradise Lyrics - Harris J.
  18. Ay Shaam E Gharibaan Lyrics - Mesum Abbas
  19. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 2-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Asmaa Al-Husna Lyrics - Aashiq al-Rasul
  21. Meri Zanjeer Na Kehncho Lyrics - Shahid Baltistani
  22. Aap Kiya Jane Fatima Kiya Hai Lyrics - Shadman Raza
  23. My Hero Lyrics - Harris J.
  24. The One Lyrics - Harris J.
  25. Allahu Allah Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x