Aie Sabz Gumbad Wale Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
Ae parda nasheen dil ke parde mein raha kerna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna

Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Maqbool yeh aarz meri lillah zara kerna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Aie sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay
Us dar say shifa paaye dukh dard kay maaron ne
Aataa hai unhein sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha
Ye shaan hi inki ke saaya bhi nahin dekha
Allah nay saaye ko chaha na judah karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna


More Islamic Lyrics

  1. Tajdar e Haram Lyrics - Owais Raza Qadri
  2. Mast Qalandar Lyrics - Sami Yusuf
  3. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  4. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Lay Down Your Head Lyrics - Zain Bhikha
  6. Wa Hassan Sabz E Qaba Lyrics - Shahid Baltistani
  7. Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics - Naat Lyrics
  8. Ban Ke Saa’el Lyrics - Farhan Ali Qadri
  9. Ali Da Malang Mein Tey Ali Da Lyrics - Farhan Ali Qadri
  10. Ya Rabbi Ya Rahman Lyrics - Ahmad Hussain
  11. Palestine Will Be Free Lyrics - Maher Zain
  12. Al-Hamdu Li’Llah Lyrics - Sami Yusuf
  13. Mere Aaqa Ki Shaan Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  14. Rooh e Shabbir Woh Manzar To Bata Lyrics - Milad Raza Qadri
  15. Kam Tashtaki Lyrics - Ahmed Bukhatir
  16. The Rope Lyrics - Gaith Adhami
  17. Believe Lyrics - Saif Adam
  18. Beautiful World Lyrics - Noor
  19. Balady Ya Balady Lyrics - Hamza Namira
  20. Try Not to Cry Lyrics - Sami Yusuf
  21. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  22. Haser Hesarak Lyrics - Hamza Namira
  23. Why? Lyrics - Ahmad Hussain
  24. Greatest One Lyrics - Native Deen
  25. Taiba Taiba Lyrics - Hooria Rafiq

COMMENTS

Subscribe
Notify of

181 Comments
Newest
Oldest Most Voted
181
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x