Tera Naam Virde Zubaan Rahay Lyrics - Milad Raza Qadri

By: 

Tera Naam Virde Zubaan Rahay Lyrics

Tera naam virde zubaan rahay, meri aur koi dua nahin
Mujhay apnay dar ki bheek day, kay teray khazanay main kiya nahin.

Ho karam nawazi huzoor ki, meray ghamkaday mein bhi aa kabhi
Meray chara ghar aie meray nabi, mera koi teray siwa nahin.

Yeh teray Niyazi ki eid hai, abhi aur hasratay deed hai
Isay choom lenay do jaliyaan, abhi dil to iss ka bhara nahin.

Rukhay mustafa hai woh aaina kay ab aisa dusra aaina
Na hamari bazmay khiyal mein, na dukanay aaina saaz mein.

Tera jalwa paishay nazar rahay tujhay dekh ker mein jiya karoon
Jahan koi teray siwa na ho, mein ussi faza mein raha karoon.

Rukhay mustafa woh kitaab hai, jo muhabatoon ka nisaab hai
Wohi meray paishay nazar rahay, yehi raat din mein parha karoon.

Teri yaad meri namaz hai, teri yaad gham ka woh saar hai
Tera shukar rehmatay do jahan, mein karoon to kaisay aada karoon.

Jo kabhi naseeb ho hazri, to milay naseeb ko yawareen
Teray sangay dar pay jhuka kay sir, mein namaz e ishq aada karoon.

Mujhay apna jalwa dikhaye ja, meray dil mein aakay simaye ja
Mein sharab e marafat e khuda, tera naam lekay piya karoon.

Teri yaad hee mera taj hai, teri yaad gham ka ilaaj hai
Meray dil mein tera hi raj hai, tujhay yaad subh o ***masa*** karoon.

Na’at Information

Artist: Milad Raza Qadri
Legend: ***masa*** (not sure about this word)


More Islamic Lyrics

  1. In Every Tear He Is There Lyrics - Sami Yusuf
  2. Palestine Lyrics - Labbayk
  3. Ya RasoolAllah Karam Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  4. Zainab Ka Wasta Lyrics - Dhamani Sisters
  5. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  6. Radhitu Billahi Rabba Lyrics - Maher Zain
  7. Ali Da Malang Mein Tey Ali Da Lyrics - Farhan Ali Qadri
  8. Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics - Naat Lyrics
  9. Qabu Mein Nahin Rehtay Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  10. Ignorant Minds Lyrics - Tom Robertson
  11. Allahu Lyrics - Irfan Makki
  12. Durood e Taj Lyrics - Durood Shareef
  13. Home Lyrics - Raef
  14. Allah Remains Lyrics - Zain Bhikha
  15. The Earth Trembled Lyrics - Voices Of Passion
  16. Wa Hassan Sabz E Qaba Lyrics - Shahid Baltistani
  17. Marhaba Bolo Marhaba Lyrics - Farhan Ali Qadri
  18. Pearl Lyrics - Sami Yusuf
  19. Heaven Lyrics - Khaleel Muhammad
  20. Ca C’est La Vie Lyrics - Zain Bhikha
  21. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  22. Paradise Lyrics - Maher Zain
  23. ??? ??????? ??? ???? ????? – Buniyal Islam Ala Khamsin Kamsathi Ana Ka Nin Fe Din Lyrics - Various Artists
  24. Allah Tera Shukar Hai Lyrics - Abdul Hameed Rana Soharwardi
  25. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed

COMMENTS

Subscribe
Notify of

3 Comments
Newest
Oldest Most Voted
3
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x