Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Iman Ramzan Lyrics - Aamir Liaquat
  2. Ramadan Is Here Lyrics - Native Deen
  3. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  4. Raastein Saaf Batatay Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  5. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics - Aamir Fayyazi
  6. Do Bar Namaz Shaheed Hui Lyrics - Qurban Jafri
  7. Circle Lyrics - Sami Yusuf
  8. Main Naukar Hoon Shah-e-Madina Ka Sunlo Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  9. Jannat Mein Lay Kay Jayay Gi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  10. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  11. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  12. Hazir Hain Hazri Mein Lyrics - Dhamani Sisters
  13. Tanam Farsooda Jaan Para Lyrics - Zulfiqar Ali
  14. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  15. Asma ul Husna Lyrics - Labbayk
  16. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  17. Mitho Naalo Muhammad Jo Lyrics - Farhan Ali Qadri
  18. SubhanAllah Lyrics - Maher Zain
  19. The Mountain Lyrics - Tom Robertson
  20. When I Grow Up Lyrics - Zain Bhikha
  21. You Are My Life Lyrics - Harris J.
  22. Celebrate Lyrics - Aashiq al-Rasul
  23. Believe Lyrics - Saif Adam
  24. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  25. Provu Tumi Amari Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x