Mere Aaqa Nigaah-e-Karam Ho Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Mere Aqa Nigahe Karam Lyrics

Bheek ‘ata ae Nabi (SAW) Muhatasham ho,
Meray Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Deed ka hun talab gaar Aqa (SAW),
hun agar che gunah gaar Aaka (SAW),
Ik jhalak apni Sarkar Aaqa (SAW),
Aab dikha do na ik baar Aka (SAW),
Iss gunah gaar par bhi karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Choot jaye gunahon ki aadat,
Rab (SWT) ki dil se karoon mein ibadat,
Aisi kar de tu nazr e inayat,
Bas tere gham main maah e risalat,
Dil tarapta rahe aankh nam ho,
Meray Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Hai tamanna meri mere dilbar,
Dekh lun kash har saal aa kar,
Teri masjid kay mehraab o minbar,
Aur roze ka pur kaif manzar,
Phir bayan haal ba chashm e nam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Yaad aata hai mujh ko woh manzar,
Jab chala tha Madine se dilbar,
Muztarib qalb tha aankh thi tar,
Us ghari ‘arz ye thi zabaan par,
Baar baar aaoon aisa karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Arz karta Obaid e Raza hai,
Jo tere dar ka adna gada hai,
Mushkilon mein shaha ye ghira hai,
Tujh se imdad yeh chahta hai,
Door iska har ik runj o ghum ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Hai yaqeen ‘arz meri suno ge,
Laaj Lajpaal meri rakho ge,
Rahmatein khaas apni karo ge,
Aaj daman mera bhi bharo ge,
Ya Nabi (SAW) taajdaar e haram ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  2. Ya Nabi Salam Alayka Lyrics - Maher Zain
  3. Shahaada [Urdu Version] Lyrics - Fez Meghani
  4. Agar Koi Apna Bhala Chahta Hai Lyrics - Mohammad Rehan Qureshi
  5. Kamle Wale Muhammed Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. Tajdar e Haram Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Fiyyashiyya Lyrics - Sami Yusuf
  8. Never Never Lyrics - Sami Yusuf
  9. Dil Jis Se Zinda Hain Lyrics - Ahmad Hussain
  10. Mere Ghous Piya Jilani Lyrics - Naat Lyrics
  11. Aao Parhein Qur’an Lyrics - Mohammad Tahir Qadri
  12. Lament Lyrics - Sami Yusuf
  13. Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. All It Takes Lyrics - Fez Meghani
  15. Ya Syedi Ya Mustafa Lyrics - Syeda Amber Saleem
  16. Hear Your Call Lyrics - Sami Yusuf
  17. Wa Hassan Sabz E Qaba Lyrics - Shahid Baltistani
  18. Call On Him Lyrics - Raef
  19. Sepanjang Hidup Lyrics - Maher Zain
  20. Salam Alaikum Lyrics - Harris J.
  21. Mera Sehreyan Wala Akber Lyrics - Dhamani Sisters
  22. Qasida e Mairaj for Shab e Meraj | Shabe Miraj Lyrics - Special Collection
  23. Bazaar E Shaam Lyrics - Irfan Hussain
  24. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai Lyrics - Naat Lyrics
  25. Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics - Milad Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

11 Comments
Newest
Oldest Most Voted
11
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x