Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Chamka Mah-e-Noor Ka Hilal Lyrics

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Bay kasun say hai jinhay pyar wohi aaye hain,
Jo do aalam kay hain ghum khaar wohi aaye hain.

Ek nazar asmaan per daal, marhaba,
Chamka mah-e-noor ka hilal, marhaba marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jhanday lagao galiyan sajao,
Karlo charaghan ghar jagmagao,
Razi ho ga Rab-e-Zuljalal (SWT), marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Mehfil sajaayein naatein sunaein,
Aaqa ki aamad ki dhoomain machayein,
Roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Laaraib nabiyon kay saalar aaye,
Aaye do aalam k ghum khaar aaye,
Shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Aashiq key dil jagmaganay lagay hain,
Dekho zara muskuranay lagay hain,
Deedni hain unkay khad-o-khaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Sadqa wiladat ka jalwa dikha do,
Dil ki lagi ab to aaqa bujha do,
Dikhla do apna ab jamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jood-o-sakhawat hai aadat tumhari,
Phailaaye daaman kharay hain bhikari,
Kar do karam amna k laal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhab Marhaba.

Jaam-e-shahadat piya hai jinho ne,
Ahle-sunan ko jila di unho na,
Yaad aayengay wo har saal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Shaadi kay naghmay sunatay rahengay,
Jashn-e-wiladat manaatay rahengay,
Waar daingay tum pay jaan-o-maal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Parhnay laga jab Ubaid un ki naatein,
Honay lageen chaar soo us ki baatein,
Faiz-e-Raza ka hai sub kamaal, marhaba.

Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhab Marhaba

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  2. I Think of You Lyrics - Mesut Kurtis
  3. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  4. Generous Peace (Arabic) Lyrics - Kareem Salama
  5. Taiba Taiba Lyrics - Hooria Rafiq
  6. Trust In Allah Lyrics - Saif Adam
  7. Allah Made Everything Lyrics - Zain Bhikha
  8. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar Lyrics - Owais Raza Qadri
  9. Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics - Dhamani Sisters
  10. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  11. The Bright Moon Lyrics - Raef
  12. Dream Lyrics - Raef
  13. Heal the World Lyrics - Zain Bhikha
  14. Wherever You Are Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  15. Believe (Acoustic Version) Lyrics - Saif Adam
  16. Homecoming Lyrics - Gaith Adhami
  17. Good Life Lyrics - Harris J.
  18. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics - Naat Lyrics
  19. Rasool’Allah Lyrics - Harris J.
  20. Never Forget Lyrics - Sami Yusuf
  21. Zainab Ka Wasta Lyrics - Dhamani Sisters
  22. Together We Pray Lyrics - Labbayk
  23. Balady Ya Balady Lyrics - Hamza Namira
  24. Wedding Nasheed Lyrics - Labbayk
  25. Aur Sham E Gharibaan Lyrics - Shahid Baltistani

COMMENTS

Subscribe
Notify of

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x