Baraye Dil e Dukhtar Lyrics
Haye Hussaina, vaye Hussaina,
Ay vaye Sakina, aie vaaye Sakina.
Yeh rukhsat e aakhir hai pukaray shah e wala,
Aie Zainab o Kulsum Rabab aur Ruqaya,
Tum sab pay salaam akhri Allah ko sonpa,
Lipti huyi qadmoon say yeh kehti thi Sakina.
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Baba na kaho baba, tum saath raho baba,
Kuch hum say suno baba, aagay na barho baba,
Aaram karo baba, baray e dil e dukhtar,
(baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
(baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
Baraye dil e in dukhtar, khaimoon mein chalo baba.
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Juyam bay kuja baba, dar dasht to ra baba?
(Where should I look father, where in the desert are you?)
(Kahan dhundu baba, tumhein is dasht mein baba?)
Nazdam to biya baba, yaad az in wafa baba,
(Come close father, give me your love and affection)
(Nazdeek aa jao baba, izada wafa mujhe day do)
Lutfan benuma baba, baraay e dile dukhtar,
(For the sake of loyalty, for the sake of your daughter)
(Apna lutf o karam, baiti ke dil ke liye)
Baraaye dil e dukhtar, ay baba ma ro baba.
(For the sake of this daughter, come back father)
(Is baiti ke dil ke liye, wapas aa jao father)
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Mein jan gayi baba, pehchan gayi baba,
Qurbaan gayi baba, talwaroon mein jao gay,
Phir tum bhi na aao gay, baraye dil e dukhtar,
(baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
(baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
Baraye dil e dukhtar, tum hum ko na tarpana.
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Aaya dukhtar e nistam? yekhta gohar e nistam?
(Am I not your daughter? Am I not a priceless gem?)
(Kiya mein aapki beti nahin houn? kiya yakta gohar nahin hoon?
Noor e nazarat e nistam? ya hamsafar e nistam,
(Am I not the light of your eyes? or, am I not a fellow traveller?
(Noor e nazar nahin hoon? ya humsafar nahin houn?)
Gar bargardi man nistam, baray e dil e dukhtar,
(If you go you shall not find me when you return, for the sake of your daughter)
(Agar gaye to wapas mein mujhe nahin pao gay, beti kay dil kay liye)
Baraay e dil e dukhtar, bargard o biya baba.
(For the sake of this daughter, come back father)
(Iss baiti ke dil ke liye, wapas aa jao baba)
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Baba aie mere baba, lazim hai agar jana,
Yeh hum say karo wada, jab shab ka ho san’nata,
Aur meri sada suna, baraye dil e dukhtar,
(baraye dil e dukhtar – for the sake of your daughter)
(baraye dil e dukhtar – baiti kay dil kay liye)
Baraaye dile dukhtar, tum lot kay aa jana.
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Babaye mani baba, lazim shud e gar raftan,
(O my father, O father if it is necessary to go)
(Baba aie mere baba, lazim hai agar jana)
In waadey e ma bashad, dar tarikiy e shab ha,
(Make a promise to me, when darkness spreads of night)
(Aik wada mujh say karo, jab raat ki tariki cha jaye)
Bishnu chun sada e man, baraay e dil e dukhtar,
(And you listen to my cry, for the sake of your daughter)
(Aur meri sada suno, baiti kay dil kay liye)
Baraay e dil e in dukhtar, baaz aayi baraay e maan
(For the sake of this daughter, come back father)
(Is baiti kay dil kay liye, wapas aa jao baba)
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Sheh bolay Sakina jaan, sou jaan say main qurban,
Is tarha na ho giryan, eik wada nibhana hai,
Eik qarz purana hai, baraye dil e dukhtar,
Baraay e dil e baba, tum aaj dua karna.
Aie kul ke madadgar madad karne ko aao,
Ya Fatima Zahra mere baba ko bachao.
Pursa hai paye e maula, Rehan o Ali Jee ka,
Kartay the haram noha, Sarwar nay kaha baiti,
Sa’at hai judayi ki, baraay e dil e dukhtar,
Baraay e dil e baba, maqtal na chali aana.
COMMENTS