Aye Shaam Terey Bazaaron Se Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
Chamkegi jabeen suraj bankar x2
tha hashr unhi tehreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
Barsae gaye the patthar bhi x2
baarish bhi huvi thi teeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
Ek goonj uthi taqreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
Qaimon ko jalaen the aadan x2
Haalat thi ajab dilgeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
Ye izzat ye tauqeer huvi x2
Tatheer ke daamangeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
Yun kaati gae hai shiryaane x2
Quraan teri tafseeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
Halki si jhalak hai ek akhtar x2
Un dard bhari tasveeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Celebrate Lyrics - Aashiq al-Rasul
  2. Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  4. Khorasan Lyrics - Sami Yusuf
  5. Doori Lyrics - Hamza Namira
  6. An Nabi Sallu Alai [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Kullama Nadayta Ya Hu Lyrics - Aashiq al-Rasul
  8. Ramadan Lyrics - Maher Zain
  9. Give The Young A Chance Lyrics - Sami Yusuf
  10. Tera Khawan, Main Tere Geet Gawan Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Who I Am Lyrics - Zain Bhikha
  12. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha
  13. Burdah Lyrics - Mesut Kurtis
  14. Abbas (AS) Meer E Lashkaram Lyrics - Mesum Abbas
  15. You Are The One Lyrics - Raef
  16. Rahman Ramazan Lyrics - Aamir Liaquat
  17. Aa Palat Aa Aye Hussain (A.S) Lyrics - Irfan Hussain
  18. Most Merciful Lyrics - Aashiq al-Rasul
  19. Without You Lyrics - Sami Yusuf
  20. Peace Remain Lyrics - Kareem Salama
  21. Free Lyrics - Zain Bhikha
  22. Shahe Madina Lyrics - Saira Naseem
  23. Beloved Lyrics - Mesut Kurtis
  24. Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Lyrics - Mir Hasan Mir
  25. Koi Aaye Koi Jaye Lyrics - Mohammad Tahir Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x