Aa Gaey Sarkaar Lyrics
Marhaba, Marhaba, Marhaba Ahlan wasahlan Marhaba (2)
Aagaye Sarkaar
Khushian Manaao, Dhumey machaao, Khushian Manaao Dhumey Machaao.
Khushian Manaao, Dhumey machaao, aagaye sarkar.
Amad huee hiy un ki, sab zulmatain chattin hain,
Aaj dewaano, mil kar bolo, aagaye sarkaar.
Pur noor hey ye aalam, sab muskaraa rahey hain,
Un ki amad ke charchey hain, aagaye sarkar.
Aqa ki amad se to, soey naseeb jagey,
Kul Nabiyon ke sarwar aaye, aagaye sarkar.
Mahshar ke roz jin sey, pahchaan jaayen gey hum,
Kyun ghabratey hon diwaano, aagaye sarkar.
Ghar, ghar chiraaghaan kar lo, galiyon ko jag-magaao,
Mil kar lagaao, na’rah khushi ka, aagaye sarkar.
Nazraana-e-Aqidat, jo pesh kar raha hoon,
Naat likhi hey, aaj Ali nay, aagaye sarkar.
Naat Information:
Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo
COMMENTS